RK: Guru ji dandvat pranam. Guruji mai apni personal life se vichlit hoo. Ishwar mai astha hote hue bhi man a shanties hai. Guruji mera margdarshan karo

Swami Ram Swarup: Mera aapko hardik ashirwad, beta.

Beta, yeh sansar Ishwar ne banakar gyan dene ke liye Ishwar ne hamein vedvidya pradan kee. Vedon mein Ishwar ne hamein Vedvidya pradan kee. Vedon mein Ishwar ne spasht kaha hai ki Guru kee seva aur Ishwar kee bhakti ke bina sukh nahi. Shanti ke liye Guru ke vedon ke vachnon ko sunna aur uspar aachrann karna parmavashyak hai. Rozana naam simrann karna, dhyan mein baithna, asan prannayam aadi karna samay samay par Yajyen mein shamil hona, rozana donon samay agnihotra karna bahut jaroori hai. jab yeh vidya karnee jeevan mein shuru karoge to dheere dheere Jeevan mein shanti aati jayegee. Otherwise manushya pichhle karmon ka phal hee bhogta hai aur sukh dukh anubhav karta rehta hai. isliye sadhna shuru karo beta, mera ashirwad tumhare sath hai.

Guruprasad: Crores of pranams maharaji. Sorry to bother you again. I have been reading your book Vedas A Divine light now for the last 10 years or so. The depth of your knowledge in each of the topic is so deep that how many so ever times one reads this book, everytime some new rahasya comes out. I’m not saying this to please you. You are our acharya and I speak truth to my guru ji. Maharaji, the universe creation mentioned in VDL part 2 is beyond description. It took me several years to understand this explanation. I just want to understand that in the 3rd Mantra you have mentioned ABHOO AASEET, but when i see the mantra, i’m not able to find this word ABHOO, there is one pad “THUCHAYENAABHAVAPIHITAM”, does ABHOO shabd is hidden inside this or any other pad in this mantra? Can you please give guidance on this mantra and the word ABHOO as well on non-alive prakriti in this mantra or in this sukta. Guruji ke charnon me baar baar naman. Striving hard to become your servant and son, Guruprasad from Bangkok.

Swami Ram Swarup: My heartiest blessings to you all, my son. Beta Rigved mantra10/129/3 mein jo yeh shabd “tuchchyenaabhvapihitam” pad aaya hai uska sandhi-vichchhed hai:-

Tuchchyen+aabho+apihitam

To aabho ka arth hee jad prakriti hai.

Srishti se pehle andhkar se bhara jab andhkarmay samay tha , us samay na janne yogya aabho naam se (yeh parlay avastha ka varnnan hai arthat parlay chal rahee hai us samay ka varnnan hai aur us samay koi bhee nahi hota isliye aabho ko “ na janne yogya “ kaha hai ki jab koi hai hee nahi to kaun janega. rachna to hue hee nahi hai.) avyakt prakriti roop upadan karann tha.jisse srishti kee rachna hotee hai.

Again, my heartiest blessings to you, my son.

Sapana: Is “kanyadaan” Vedic ritual? If yes then what is the actual meaning of kanyadaan? As per my knowledge sanatan dharma never treated woman as an object so kanyadaan ritual sounds contradictory. If its not a vedic ritual then why people perform it during wedding ceremony? Should we skip this ritual?

Swami Ram Swarup: Kanyadaan is a Vedic ritual according to vedas, vivah sanskar is performed in which a farther hands over/entrusts his daughter to bride groom. It is called Kantadaan.