Boodhun: Can special prayers be performed at home during pitri paksh such as birthday havan?

Swami Ram Swarup: Yes you may perform special prayer. However, the agnihotra from Ved mantras is in fact give blessings to us.

Anonymous: Pranaam maharaj ji, main aap se poochna chahti hun k jab tak hamein vedon ka gyan nhi hota hain tab tak hum bahut si galatiyan jaane anjaane mein karte hain lekin jaise hi hum vedon ke gyan ke prakaash mein aate hain hamein kya galat hain aur kya sahi hain usme farak pata chalne lagta hain, lekin saath hi apni galatiyan jo humne pehle ki hain vo hamein satati hain. Diksha lene k baad se main apne jaavan ko yagya karke aur vedon ke bataye raste pr hi chalkar vyateet karne ki koshish karti hun. Mera sawaal aapse guruji ye hain k vo galatiyan mujhe satati hain aur mujhe guilt hota hain k maine galatiyan kari bhale anjaane mein kari magar kari. Iss bhavana se kaise niklun aur kya iska bhoj khud par utha kr aage ki Zindagi vyateet karun?

Pranaam

Swami Ram Swarup: Beti ved marg sabko Shanti deta hai kyunki shantiyukt parmeshwar se nikla gyan hai. Isliye ved ne kaha ki ved marg par chalne se pahle jo bhi galtiyan hui hain woh Guru ki kripa se yaj mein nasht ho jaati hain isliye aap bojh kabhi na rakho. Aap to niyat agnihotra, samay samay par yaj karte rahte ho atah aapki pichhli sab galtiyan nasht prayah ho gai hain. Isliye agnihotra/ yaj karte raho aur aage bado. Aashirvad beti.

Anonymous: Respected Gurudev,

If a person lost his brahmacharya power,is it possible to recover it? Please explain Gurudev.

Swami Ram Swarup: Yes beta brahamcharya power can be regained by maintaining immediate brahamcharya. My blessings.