Vaibhav: Can we eat onion and garlic after wearing janeu?
Swami Ram Swarup: Though garlic and onion is not non-vegetarian, it is pure vegetarian, having medicinal qualities yet a Brahmachari should avoid it because it inspires sensuous behaviour, etc.

Basant: Yog sutron mein maharshi patanjali ne AASAN ko paribhashit karte hue likha hai ki jis avashtha mein baithne par hame sukh ho vahi ASAN hai. Atah yog sutra ke anusar ‘yoga postures’ ko asan nahi kah sakte kyonki sheershaasan aadi postures ‘comfortable’ nahi hai. Kya maine satya kaha?
Swami Ram Swarup: Patanjal Yog Darshan ke sutra 2/46 ka vastivik bhaav yeh hai ki jab hum asan lagaana seekheinge to pehle pehle thoda bahut kashta sehna hee padega aur nitya ke abhyas se jab asan sidh ho jayega to der tak baithey hue asan par hum sukh ka anubhav kareingey. Isliye asan to seekhney hee chahiye nahin ti Patanjal Yog darshan sutra 2/46 mein rishi kai kathin asan ke naam na likhate aur un asan ko karne kee prerna na deitey. Lekin mukhyatah dhyan lagaane ke siddhasan aur padmasan hee hain.

Arya: Mahabharat mein kaha jata hai ki rani kunti ke 100 putra the. Kya ye satya hai? Karn ke pita soorya(sun) kaise ho sakte hain? Kya kunti vivah poorv garbhvati hui thi !?
Swami Ram Swarup: Kunti ke 100 putra nahin they. Gandhari ke 101 putra they. Kunti ne vivah poorva Surya namak Rishi ke dwara Karna namak putra ko prapt kiya tha. Uske pashchat uske paanch pandav putra huey.