Suvidha: Namaste swami ji, my question to you is that….. is it right to criticize others or make fun of others way of praying or meditation if I believe in other way of praying and meditation…. what I want to ask if I m performing yajna daily and following vedas should I criticize others way of praying to God like idol worship…
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my daughter. I appreciate that you are following Vedic path. May God give you long, happy life. However, we have no right to criticize others. When we become learned of Vedas, then we get the right to preach others about eternal, Vedic philosophy. But criticism is not allowed.

Anand: Swami ji pranaam.. aapke dwara diye gaye prashno ke uttar bahut upyogi aur gyanvardhak hai. kya mai in prasnottaro ko aapke hi naam se apne mitro ko bhej sakta hu..
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Dhanyawad. Jee han! Aap in prashan-uttar ko bhej sakte hain, jisse doosre jigyasuyon ko bhi labh hoga aur aapka upkaar hoga.

Sandeep: Namaste swamiji, mujhe aapke beje hoye kitab aur cds mil gai hai, mujhe bache hoye aur kitab chahiye jo aap ke pas hai tatha sath mein mai ved ishwariye vani patrika ke sabhi naye naye issue chahta ho. mera chota a aryaveer dal fiji ved mandir ke sath milkar prachaar karya karna chahta hai. aap logo ke saiyog ki zarorat hai, vavish mein mujhe prachak ki zarorat hai ved prachaar ke liye. aap bache hoye sabhi kitab aur cds bej sakte hai.agar kitab aur cds ke cost rahega tu bej dhonga.
Swami Ramswarp: Namasteji. Aapke Vedic vichaar bahut achche hain, main aapko dhanyawad aur ashirwad deta hoon. Aapko jitni books aur Cds miltee hain, uskee list bhej dein jisse hamein gyat ho jayega ki humne baaki kitnee kitabein aur Cds bhejnee hain, woh hum aapko jaldi se jaldi bhej dengey. Jub pracharak kee zaroorat hogee to hamein bataana. Aapko phir se ashirwad.