Anupam: स्वामीजी प्रणाम।मेरे सभी प्रश्नों का उत्तर देने के लिए बहुत बहुत आभार।आप का मार्गदर्शन न मिलता तो पता नही कितनी अज्ञानता बनी रहती।गुरुजी ईश्वर आपको पूर्ण स्वस्थ व चिरायु करे।मैंने बहुत अध्ययन किया पर लगता है सही पढ़ाई अब हो रही है।गुरुजी वेद मंगाने के लिए जो साइट आपने बताई है क्या वहां का फ़ोन न.मिल सकता है।गुरुजी हनुमानजी की मूर्ति 500 वर्ष पहले भी क्या बंदर मुख वाली ही बनती थी ये स्पष्ट नही हो रहा है।आप प्लीज मिक्सलर एप्प पर ब्रॉडकास्ट शुरू कर दीजिए।
Swami Ram Swarup: Blessings beti. Dhanyawad, beti. Tulsikrit Ramayan lagbhag sawa paanch sau varsh pehle likhee gayee hai jismein Hanumanji ka roop bandar ka darshaya gaya hai. Parantu aise prashan aur vishayon se Ishwar prapti athwa shanti kee prapti nahin hotee. Sadhak ko ved marg pakadna chahiye aur baaki margon ka gyan avashya hona chahiye ki inkee utpatti kahaan se hui.

Sukanya: Thank you guruji.. Swamiji mere education achhe tara hona ka ashirvad dijiye.. Mere result achhise pass hona chayiye plz… Mai achhise edcation complete karke job karne ka yichha hai.. Ye hota hai ya nahi swamiji?? Aab mai d. Pharmacy padati hu. 1varsh complete haii abbi result nahi ayihai. Mere education ka kudli ko app bata sakte guruji?
Swami Ram Swarup: My blessings to you, beti. Beti, Ishwar ne hamara bhavishya hamare hee hathon mein diya hua hai. Vedon mein Ishwar ka vachan hai jo vedic marg par chalega aur dhan sampada aadi prapt karne ke liye mehnut karega to Ishwar swayam uskee kaamna pooree karta hai. God helps those who help themselves.

Aap padne mein alasya na karna, hard studies karna. D. Pharmacy karne ke baad tumhein bahut achchey se achchey tarakki ke job karne ke chances milengey. Mera tumhein baar-2 ashirwad, beti.

Anupam: बहुत बहुत धन्यबाद गुरुजी.
Swami Ram Swarup: Ashirwad Beti.

Anupam: धन्यबाद गुरुजी लेकिन किस जीवात्मा को लड़के का शरीर मिलेगा व किसको लड़की का यह निर्धारण ईश्वर किस आधार पर करता है क्या इस संदर्भ में वेदो में कोई उल्लेख है।
Swami Ram Swarup: Blessings beti. Yeh vishaye bhi yahin aakar discuss karna, beti.

Mandeep: Thank you for your mail. I will ever remain grateful to you.
Swami Ram Swarup: My blessings to you.

Anonymous: Swami jee pranam Swami Dayanand Saraswati ke Ved Bhashya 28/46 mein aisa kun likha hai ki “yagya mein tejaswi log bakri adi pashu ko grana karein ” jaw dein? dhanyavad?
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Bakri aadi kai doodharu pashuon ko paalaney kee agya vedon mein hai. Jise gaudaan hota hai aise hee doodharu pashu ann-dhann aadi ka bhi yajyen mein daan hota hai.

VK: Maharaj ji ko dandwat pranam maharaj ji aapka swasthya kaisa h maharaj ji Maine apse questions Kiya tha Apne kaha ki cm Saab se kaho maharaj ji Uttarakhand main kabhi bhi Kisan ne Karz ki wajah se atmhatya nahi Kari thi aaj jabse trivenda Rawat ji ki Sarkar ayi h tabse aye di Kisan atmhatya kar rahe Hain or Sarkar kah Rahi hai jiske pariwar ka vyakti mara hai sirf uska interest maaf ho or wo mooldhan loutaye baki kisano ko koi Rahat nahi de sakta main khud Karz main hu Aisa kahna hai cm Saab ka. maharaj ji main bank ka Karz loutane ke liye 1bigha jameen bechna chah raha hu kya ye Sahi hoga ya nahi apse margdarshan chahta hu or maharaj ji main Aisa kya karya Karun jisse aarthik or adhyatmik unnati dono ho sake maharaj ji Maine apko adhyatmik pita Mana hai maharaj ji apki Rai ati awasyak hai kyonki hum apki Rai ke Bina koi kadam nahin utha sakte. kripa karke hamara margdarshan kijiye. Maharaj ji pranam.
Swami Ram Swarup: My heartiest blessings to you, my son. Beta, main theek hoon. Bhoomi, gau aur sona yeh dhan uttam maaney gaye hain. Isliye yadi aap ghar par aayee is pareshani ka hal kisi aur tarah se kar sakein to achcha hai aur bhoomi na bechi jaye, majboori ho to bech do. Gaun mein kai prakar ke chchote udyog ho sakte hain. Usey karne kee koshish karo. Mera tumhein ashirwad beta.