Kunal: Pranaam swamiji, sadar charan sparsh.Swzmiji “माता संस्कार दा”yeh pankti kis ved, vedang,shad darshan,brahman granth ,aranyak ,upanishad ya anaya vaidik shastra mein aati hai?? Swamiji granth ka naam aur verse number jisme yeh pankti milti hai agar aap bata de toh badi kripa hogi.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. “Mata sanskar da”, yeh words ved-shastron mein nahin hain.
Jatin: Acharya ji pranam. Pusanwan sanskar kis mahine mein kiya jata hai aur is ke baare mein adhik jaankari apki kis pustak mein hai.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Punsawan sanskar tub kiya jaata hai jub koi naari garbhwati hotee hai. yeh sanskar garbhwati hone ke baad doosre mahine mein kiya jaata hai.