Tanmay: Namaste Guruji, I want to buy below Marathi book: Vedanche Divya Gyan –Marathi. I would also be interested in buying other Marathi translations. Please send me quotes for other Marathi books also.
Swami Ram Swarup: The books are being sent to you, please.

AV: Namaskar guru Ji, parnaam. Meri beti 7 mahine ki hai. Maine apse Ek sawal kiya tha jab vo 5 mahine ki tho. Abi Abi Maine uska answer dekha mujhe Bahut khushi hui ki 2 mahine baad hi par apne mere question ko mahatav diya. Main apka Bahut aabari hu. Guru Ji kya aap kabi Kolkata aate hai, agar aap kabhi bi Kolkata aaye to mujko kabhi bi ho sake to sewa ka mauka de. Mujse jitna ho sakega main aapke saath dene ke liye sada tyaar hu. Guru Ji kya. Aap bata Sakte hai ki mera Videsh ka koi yog hai. Kripya karke batayie ki kya main kabi bi ya able Saal Videsh has paunga. Dhabyawaad.
Swami Ram Swarup: Priya putra Amol mera aapko aur aapke parivaar ko hardik aashirwad. Aap kee seva bhav wale vichar bahut he sarahniya hain. Sadaa sukhi raho. Pehle kabhi Kolkata aur Balasur gaya tha, ab 75 saal ki aayu mein itni lambi yatrayein nahi hoti. Haan! Aap kabhi yahan aayein to nishchay karke janein ki main aapki Shraddha dekhkar aane jaane ka poora kharcha darbar se doonga aur yahaan har ek ke liye rehna, khana sab hamesha se sabhi ke liye free hota hai. Aap mere likhe ka bura na manna , yeh aapki Shraddha aur prem ki baat, aise shraddhaluon se main hamesha hee aisa vyavhaar karta hoon aur haan agar samay na ho to nahi aana mera tumhe bada aashirwaad hai.

Aap videsh yatra ke liye prayatan karte raho Ishwar achchha hi fal dega.