Suman: What was that medicine which used in Mahabharata udh5000 years ago by Nakul which applied on Aangi raj?
Swami Ram Swarup: Aaj bhi koi kisi doctor se apnee bimari ko theek karata hai to koi chah kar bhi yeh nahin jaan payega ki kis medicine se theek hua.Woh dawai to koi doctor hee batayega.

Yahi baat aapke prashan par bhi lagu hotee hai.

Zahid: Kya hindu dharm ki kisi bhi dharmik pustak me kisi bhi murti ki pooja ka aadesh hai i mean butparasti ka aadesh hai?
Swami Ram Swarup: Aaj ke mazhab do-dhai hazar saal ke andar hee bane hain. Vedon ke ilawa zyadatar Hindu dharma kee pustakon mein moorti pooja ka vidhan hai. Jaise Tulsikrit Ramayan, 18 purann ityadi.

Dayashankar: Guruji aapke charnoon main mera koti koti pranam. Guruj dhanbad apka apne mujhe and meri wife ko shishya banakar. hum dono ke jeevan ko dhanya kar diya bus hum par apki krapa bani raha aur apki ek anukapa yadi ho jaye ki mujhe apse akle main bat karne ka awsar mil jaye to main apne apko dhayanya samjhuga.asha karta hun swamiji mujhe awasar denge.
Swami Ram Swarup: Aap sabko ashirwad. Jab kabhi yahaan ved mandir mein aaogey to aapko milne ka samay diya jayega.