Jay: Kia sanatan dharam k mutabiq divorce ka koi concept hai ? or kiya dobara vivah k liye agni k pheray le saktay hai? Swamiji please reply.
Swami Ram Swarup: Sanatan dharma (ved)mein kuch conditions hai jis karann pati patni ka aur patni pati ka tyaag kar saktee hai. jaise yadi patni jhagraadulu ho. Gaali-galoch dene walee, ek raatri bina puchche ghar se bahar rahee ho, vyabhicharini ho ityadi tub ved aisee stree ka sheegr tyaag karne ka updesh dete hain. Isee prakaar purush bhi yadi vyabhichari aadi ho to naari uska sheegra tyaag kar saktee hai. Iske baad dobara agni ke phere liye jaa sakte hain.

Amitt: Pranaam guruji.
Swami Ram Swarup: My blessings to you.