जिज्ञासु: प्रिय गुरुदेव , चरण – वंदन l . . . . गुरु के आश्रम मे रहकर किये गये पापों की सजा इसी जन्म मे भगवान दुख के रुप मे देता है , तो यह बात परब्रह्म के ज्ञाता गुरु के आश्रम मे ही लागू होती है या जो सिर्फ़ शब्दब्रह्म का ज्ञाता गुरु हो उसके आश्रम मे भी लागू होती है?
Swami Ram Swarup: Blessings beta. Shabda Brahm ka gyata guru yadi sanyum aur niyam mein rehta hai to uske ashram mein bhi yeh baat lagoo hotee hai.

Lalit: Swami ji pranam mere dimage me bde time se ek qus chl rha hai . ye to smjhe aata hai god kisi ke sath bhedbhaw nhi kreta hai .hume hmere karmo ke saza milti hai. do type ke pooja hai ek murti and duseri ved wali. ek insaan murti pooja kreta hai use fyda nhi huaa. fir wo ved marg pe chlene lga .daily hawan naam jaap krene lga. bt fir bhi useke dukh dur nhi hue. fir usene pucha asa ku nhi huaa ek ans tha tumhere last born ke karme . jb saza karmo ke mileni hoti hai fir hawan ka fayda kya? isliye ek insaan koi bura kaam na kre bs pooja na kre use to next born kud acha mil jayega.. mere qus ka bura mt manena bt mujhe janana hai asa ku??
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Ishwar dwara updesh kee hui kewal ek hee Pooja hai, weh hai- ek nirakaar Ishwar kee Pooja. Parmeshwar sadaa ek ras rehta hai arthat nirakaar, sarvashaktimaan, sarvavyapak, srishti rachyita aadi anant gunn yukta hai aur uske swarup, gunn, karma, swabhaav kabhi nahin badaltey.

Isee Ishwar kee jub sadhak vedanusaar pooja karta hai arthat ek ved sunta hai aur samajh kar uspar acharann karta hai, Ishwar naam ka nitya smarann karta hai. Teesra, Ashtang Yog sadhna karta hai, chautha- Nitya agnihotra aur Acharya ke paas jaakar yajyen karta hai aur is vedic Pooja par kisi bhi sthiti mein sanshaye nahin karta- Shraddha rakhta hai aur mata-pita, atithi, guru kee sewa karta hai to nishchit hee samay aaney par uske dukhon ka naash hota hai. Jaise ki yajurved mein kaha- “vitt yajyen kalpantaam” arthat Yajyen dwara dhan badta hai.” “aayu Yajyen kalpantaam” arthat yajyen se aayu badtee hai, “Swaha Yajyen Kalpantaam” arthat dukhon ka naash hokar sukh prapt hota hai.

Shraddha ka arth hee yahi hai ki ek baar jub ved sun-sunkar shrat+dha- Satya samajh mein aa jaye aur weh gyan Jeevan mein dharann kar liya jaye to usey Shraddha kehte hain. Jubtak satya, ved, nirakaar Parmeshwar, prakriti aur Bhagwan ke swarup, gunn, karma aadi Ved sun sunkar samajh nahi aaye tab tak sadhak ka chitta sthir nahi hota, mann chanchal rehta hai aur naastikwaad tatha astikwaad donon taraf mann-buddhi vichaar kartee hai, ek taraf sthir nahin ho paatee. Mukhyataha anadi evum avinashi satya Bhagwan, Yajyen aadi samajh nahi paatee atah jub tak Shraddha pakki na ho jaye, sadhak ko upar kee sadhna arthat mukhyataha ved sunna aur yajyen karna ityadi chchodna nahi chahiye kyunki shabdon dwara yeh pramaanit hai ki Ved Ishwareeya vanni hai jisey Sri Krishna Maharaj, Sri Ram etc., sabhi ne apnaya aur jub Sri Ram jaison par vipatti aayee arthat Rajya chchodkar chaudha varsh vanon mein jaana padaa aur wahan Sita ko Ravann chura le gaya tub bhi Valmiki Ramayan mein Sri Ram ne rotey hue yahi kaha ki Hey! Laxman, mera durbhagya dekho ki Rajya chchin gaya, Sagey-sambandhi door ho gaye, Sita ko Ravann chura le gaya aadi. Hey! Laxman, main samajhta hoon ki is bhoomandal par mere samaan paap karne wala paapi purush koi nahin hai kyunki ek ke baad ek dukhon kee na tootney walee parampara nirantar mere hriday aur mann ko cheer daltee hai. Poorva janam mein main eek ke baad ek bahut se paap kiye hain. Unhee paapon ka phal aaj mujhe prapt ho rahaa hai aur mere upar bahut dukh aa rahe hain.
Main itna bhagyaheen hoon ki yadi main Samundra mein kood jaoon to mere dukhon se samundra bhi sookh jayega.

Vichaarneeya vishaye yahi hai ki Sri Ram ne Yajyen ko, vedon ko, Rishiyon ko, Mata-Pita aadi kisi ko bhi dosh nahin diya kewal apne bhagya ko hee dosh diya. Phalswarup weh prithvi kee ek mahaan vibhutee kehlaye hain. Kisi bhi paristhiti mein ved, Ishwar aadi ko dosh nahin dena chahiye.

Yajyen/havan, vedic marg par chalkar jeev apna agla janam dev yoni mein nischit kar leta hai aur phir vedic bhakti karke apne paapon ka naash karta hai. Yadi weh vedic marg par nahin chalega, yeh sochkar ki jub pichchley janamon ke karmon kee sazaa hee bhognee hai to na koi pichchley janam ka phal nasht hoga aur na hee agla janam dev yoni mein hoga. Apitu manushya deh ka durupyog karke weh jeev-prakriti chakra mein phansa jaata hai arthat manushya ka sharer to usey milta nahin. Uske sthan par usey pashu-pakshi, keet-patang kee yoniyon mein jaakar kasht uthana padta hai. Yajyen, Yogabhyas aadi jo vedic upasana/Pooja upar updesh kee hai, weh nisswarath hotee hai. Uske phal kee ichcha nahin hotee. Jaise ki Sri Krishna Maharaj ne kaha ki Hey! Arjun, tera karma karne mein adhikaar hai, phal kee ichcha mat kar etc. Yajyen se sukh nahin mila, yeh swarthyukta evum sanshaye yukta bhakti hai. Aisee bhakti sukh nahin detee. Ved marg par chalkar sadhak ko atal Shraddha aur astha kee avashyakta hotee hai.

Jo insaan ved nahin sunega, usey yeh pataa hee nahin chalega ki shubh karma kaun se hain aur ashubh karma kaun se. Aisey manushya ko ved avidyagrast manushya kehte hain. Isliye manushya ka sharer paakar ke jeev ka yeh dharma hai ki weh ved marg par chale.