Munesh: Guru ji ko sadar charan sparsh,guru ji mai tratak ,dhyan sadhna pichley kai varsho se kur rahan hoon. Mai jub dhyan kurta hoon to mere saamney kabhi to saara akash,surya,star dikhai detai hai or kabhi mera sukshm shareer bahar nikal jaata hai.mai yeh janna chahta hoon ki sukshm shareer ka baahar nikalna kis chakra ke active hone se hota hai.

Swami Ram Swarup: My blessings to you. Uttar deine se pehle main yeh jaanana chahoonga ki aap kis acharya kee dekh-rekh mein sadhna kar rahe ho aur aapki sadhna kis prakar kee hai. Kyunki dhyan, Ashtang yog kee satvee manzil hai, to kya aapne pehlee six manzils pooree kee hai ityadi.

Sumanth: Andaras ke utpati kaise hua hai
Swami Ram Swarup: Aap ke likhe andaras shabd main nahin samajh sakaa. Kripya detail
mein likhey.