Ranjit: Swami ji main sanyas lena chahata hoon kripya margdarshan karein.
Swami Ram Swarup: Kisi achchey Ved gyata acharya ke sanrakshann mein rehkar sadhna,
yogabhyas, vedon ka sunna aadi shubh karma karte-karte jab vairagya ke lakshann utpann hotey hain athwa kum se kum seventy five years kee aayu hotee hai athwa chotee ya badi kisi bhi aayu mein vairagya utpann hota hai, tabhi sanyas liya jaata hai, Phir bhi aap kee vritti ko dekh kar samajh kar hee pura nirnaye liya jaa sakta hai. Atah aap ek bar yahaan aa jayein kyunki snasaar se tang aakar ya kisi baat se tang aakar avidyagrast hokar sanyas sada dukh deine aur pachtaave wala raha
hai. Ya phir aajkal adhiktar sanyasi paise kamane ke liye sanyas leite hain jo ki aajkal adhiktar paap hai. Isliye kai cases mein sanyas dharam badnaam kiya jaa rahaa hai.

Ravi: man pe adhikar kaise kare.i mens bramchry ka palan kab tak hota hai.mai abhi tak kise ladki k sath kuch nai kiya par man pe kabu nai kar pata hun.or man se paap ho jata hai to kya mera bramchry khatam ho gaya hai..plz sir hindi me bataye
Swami Ram Swarup: Paap teen prakar se hote hain- Mann, Vachan aur Karma. Isliye mann mein bhi yadi bura vichaar aa gayaa to weh bhi paap kehlata hai aur ussey bhi purush athwa kanya kee shakti ka naash hota hai. Mahabharat mein yeh updesh hai ki hey Yudishthir! Brahmacharya dharann karne ka yeh bhi tareeka hai ki mann mein koi bura vichaar aaney hee na do ussey wahee ka wahee nasht kar do. Brahmacharya, vivah se pehle to dharann kiya hee jaata hai parantu vivah ke baad bhi Brahmacharya dharann kiya jaata hai, uske niyam alag hain. Yeh subject kaafi lamba
hai isliye pura gyan prapt karne ke liye aap meri pustak Brahmacharya- Ek dukh nivarak divya Manni (in Hindi), worth Rs.100/-, excluding postal charges, manga ke padein jismein aapko sab clear ho jayega. It can be sent on receipt of your postal address, if you desire.

Sharan: Dear Swamiji, I want to buy a book veda – divya gnana which is translated in
Kannada. Can you advice how can i order this book online from your webiste. thanks for your time. Sharan
Swami Ram Swarup: To purchase the book- Veda- Divya Gyan, you are requested to
please make contact with Shri Guruprasad of Bangalore, his mobile number number. My blessings to you.