Deep: Charan sparsh Guruji. Aapka bohot bohot dhanyawad mere prashno ka answer dene ki liye. Guruji mai yeh v janna chahata hu ki yeh vardan or boon actual me kya chiz hai? Jaisa ki him mythological series me dekhte hai k tapasya karne k bad koi deity ake us tapasya karne wale ko vardan ya boon grant karte hai, aur wahi pe humne ramayan me Dekha hai ki dasharathji ne v kaikaiji ko vardan diya magar WO boon ek promise k type k tarah tha. Mai yeh janna chahata hu guruji k vardan or boon hota kya hai, kya yeh kisi diya koi power hai ya promise ko hi vardan bolte hai ? Kya diya gaya vardan wapis v liya ja sakta hai? Kya vardan aur ashirbad me koi difference hai? Tathastu ka kya MATLAB hota hai? Guruji humare ghar me Maine bachpan se hi yeh mythological stories , puja path aise environment me bara hua hu, magar mai apse vedanusar margdarshan pake apne jivan ko dhanya karna chahata hu kyunki itna to mai clearly janta hu ki vedas sabse bara satya hai, magar guruji Vedas k bare me bohot misconception faile hue hai, jaise Maine ek jaga me parah k ” according to Vedas yamraj revealed these four things to nachiket……” , magar guruji yeh kaise possible hai aap kehte ho k Vedas me proper noun hai hi nahi, to ye yamraj, nachiket yeh sab kaise ho Sakta hai, Vedas to knowledge hai, stories ki baat kaise ho sakti hai, aise kai chize vedo k nam par rotate ho rahi hai, specially ajkal social media hojane par yeh rotation zyada easily ho raha hai, magar guruji yeh sab vranti hi hai na? Aap Vedas k gyani hai isliye aap mera margdarshan kare please to meri conception clear ho jai.

Guruji Maine apke site pe yeh v para tha shraap MATLAB kosna hota hai, mere hi ek parichit WO ache student hai, puja v karte hai magar pata nahi unke dimag me kya problem hai over think bohot karte hai aur din raat sirf shraap hi dete rehte hai, guruji aapne kaha tha k ghrina aur krodh me diya shraap khud pe hi wapis a jata hai, magar guruji WO to krodh ya ghrina nahi balke mansik chinta k thode se bikriti lagti hai, WO puja path gayatri path v karte hai, kya unka shraap pravabshali ho sakta hai? Guruji WO ache insaan hai Bas thode se pagal type hai, mai nahi chahata k unka shraap unpar ya kisi aur par lag jai, mai unhe kaise samjhau? WO abnormal nahi hai Bas thode se shraap shraap karte rehte hai shayad WO puja path karke apne aap ko tapaswi samajhte honge, mai unhe satya samjhana chahata hu, aur yeh mai aapke reply unko dikha k unhe proof karna chahata hu. Guruji kripa karke meri sari vranti dur Kare aur aashirbad de mai jivan me bohot mehnat karke jivan me apne sari responsibility ka fulfil kar saku. Kripa kare guruji apna ashirwad drkar.
Apko mera koto koto naman.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Actually, vardan ko yadi hum ashirwad kahein to wahee theek hoga kyunki vardaan shabda vedon mein nahi hai. Dashrath ne bhi Kekai ko vachan diye they, vardaan nahi diya tha aur tapasya to Ishwar kee Pooja ko kehte hain jo Yajyen, agnihotra, ashtang yog sadhna, vedon ka sunna, mann ko, indriyon ko control karna, shanti banye rakhna, ved mantron se Yajyen/agnihotra karna ityadi tap kahe gaye hain aur jo yeh tap karta hai, usey swatah hee aatmik sukh prapt hota hai, vardaan nahi. Weh moksh tak prapt kar leta hai.

Tathastu ka arth hai- aisa hee ho arthat jo tum ashirwad maang rahe ho weh satya ho. Parantu Ishwar tathastu aadi shabda ka prayog nahi karta weh nirakara hai. Han! Beta, vedon mein poper noun nahi hai. Vedon mein Yamraj ka arth God hai kyunki yamraj ka shabdik arth hai, jo mrityu par rajya karta hai aur janam aur mrityu par Parmeshwar hee rajya karta hai aur asal mein Yamraj aur Nachiketa kee katha kathopnishad mein hai, ved mein nahi hai. Upnishadon mein to proper noun prayog hota hai kyunki upnishad to five-six hazaar varsh pehle hee likhe gaye hain aur tab tak sansaar mein anek ghatnayein hui aur itihaas rache gaye, parantu ved anadi kaal se chalee aayee vanni hai. Yeh Vedic gyan tab utpann hota hai jub manushya ke shareeron kee rachna abhi hui-hui hotee hai, koi ghatna nahi ghatee hotee aur na hee koi itihaas racha hota hai. Ved kewal gyan hai, kahani, katha etc., nahi hai. Bhranti, andhvishwaas, anaachari, agyan yeh sab kuch jhoot aur jhoot par adharit hai. Isliye ek din nasht ho jata hai. Kewal satya ved hee reh jaate hain. Satya ved hamesha rahte hain. Han! beta Atharvaved mein Ishwar swayam kehte hain ki jo shraap, gaali galauch etc., deta hai weh shraap lautkar waapis usee ko lag jata hai. Isliye shraap se ghabrane kee avashyakta nahi hai. Kisi ka bhi shrap prabhavshali nahi hota kewal ek Rishi-muni, yogi jo kewal satya marg par chalte hain, unke kahe vachan hee satya hote hain anya ke nahi aur aise Rishi-muni akarann kisi ko shraap nahi dete. Mera aapko bahut bahut ashirwad.

Sapana: Pranam guruji. aapke dwara batai gayi hawan samgri kya hume kahi readymade mil sakati hai? havan samagri ki aushadhiya genuine milti nahi hai. aur agar hume sab samgri na mile to kaunsi aisi samgri hai jo havan ke liye sabse jyada jaruri hai. minimum kaunsi samgri havan ke liye chahiye hi chahiye? Dhanyawad.
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my daughter. Beti, aap mere shisya ko diye gaye phone par contact karein, weh tumhein Delhi ke address bhej dega jahaan se aap shuddh samagri kee bori manga saktee hain.