Anupam: उत्तर के द्वारा भ्रांति निवारण व मार्गदर्शन के लिए बहुत बहुत धन्यवाद।नमस्ते गुरुजी
Swami Ram Swarup: Mera aapko ashirwad, beti.
Bharat: Please send me Patanjali Yog Darsan and Brahmacharya Dukh Nivarak Divya Mani
Swami Ram Swarup: Books have since been sent to you, please.
Pankaj: Namastay guruji, kis ved main prajannan ka vistar se yani details main bataya gaya hai please guruji mujhe bataye USS ved ka naam.
Swami Ram Swarup: Namasteji. Yeh Vishay Charon vedon mein varnnit kiya gaya hai. Aap charon vedon ka adhyayan prarambh karein.
Harsh: Sadar charan spa rsh swamiji.Swamiji aapki tabiyat kaisi hai?? swamiji ramayan mein shri Ram ji ne yeh bola hai ki pati patnika devta bhi hai aur swami bhi. swamiji jaise mata pita apni santaan par authority hotey hai aur unki aagya ka paalan bacchoka dharam hota hai. kya swamiji aisi hi pati patnikupar authority hota hai , aur kya pati ki aagya ka paalan patni ka dharam hai??? swamijiaap kya ved se unmantrokilist de sakte hai jisme ishwar ne pati ko ghar ka authority batya hai aur pati ki aagya ka paalan karne ka aadesh patniko diya hai.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Main theek hoon beta. Patni ke liye pati poojaneeya hai aur pati kee vedanusaar agya manna patni ka dharma hai. Isee prakar patni ka aadar karna aur uska ann-dhann aadi se paalan-poshan karna pati ka dharam hai. Jub pati aur patni donon milkar vedic marg par chalte hain to pati devta kehlata hai aur patni devi. Is Vishay mein main aapko advise karoonga ki aap Vedas- A divine light part-III yahaan se mangvakar jismein pati-patni, donon kee duties vedanusaar likhee hain, yadi aap ichchuk hain to apna postal address bhej ke ek pustak mangva lein.