Guddu: Sant Kabir kis kal ke kavi hai?
Swami Ram Swarup: Kabirdasji lagbhag panchsau varsh pahle hee huye the, phir bhee aap Kabirpanthiyon se is statement ko clear kar lein kyonki mera rujhan sirf ved shastron, upnishad aur Rishi praneet granthon mein hee hai, aadar main sabka karta hoon jahan-2 sachchai hai.

Aarya Basant: Pranam swami ji. Main jo puchhne wala hun use kripaya aap hankaarshunya hokar Ishwar ko arpan karne ke liye uttar dena.
1. kya Har vyakti apna fayda chahta hai?
2. Manu ne ladai jhagda band karne ke liye Dharmopdesh diya tha satya ke liye nahi?
3. Log paropkar ki ladai kyon karte hain?
4. Chanakya aur Dayanand me se bada vidvan kaun hai?
5. Vedon me jo Lokaishna vitteshna aur putreshna vidhayak mantra hain kya ve sabke liye hain?
6. Abhiman aur ahankar se rahit vyakti ke lakshan bataiye aur ye bhi bataiye ki ve dukhi kyon rahte hain?
Swami Ram Swarup: My blessings to you.
1.) Weh manushya jo vedic sadhna se heen hai, mostly weh swarthy hota hai aur apna fayda chahta hai. Lekin vidwan jan paropkar karte hain.

2.) Manu Bhagwan to swayam satya kee murti the kyunki unhonein chaaron vedon ka gyan prapt kiya tha aur Yajyen, yogabhyas dwara indriya sanyum karke Ishwar kee anubhuti kee thee. Unhonein Manusmriti mein satya ka hee to prachar kiya hai to yeh kehna paap hoga ki unhonein satya ka prachaar nahin kiya.

3.) Paropkaar kee koi ladai nahin hotee. Apitu nisswarth paropkar hota hai. Agar aisee ladai aapne dekhi hai toh zaroor likhein.

4.) Dayanand Saraswatiji to charon vedon ke gyata, mantra drishta Rishi the. Weh is Yug kee manhaantum vibhuti hue hain. Chanakya bhi apnee jagah mahann the.

5.) Pitriyaan walon ke liye yeh hai parantu jo vairagyavaan ho jaate hain, unke liye yeh lagoo nahin hota.

6.) Abhimaan aur ahankar se rahit vyakti ke lakshann yahi hain ki usmein na abhimann hoga aur na ahankar hoga. Bhaav yeh hai ki yadi uske paas paisa hai to paise ka abhimaan nahin karega. Uskee sehat achchhee hai to sehat ka abhimaan nahin karega, kisi par rob nahin jamayega, unchi jaati ka hai to unchi jaati ka abhimaan nahin karega. Isee tarah woh ahankar arthat apne ko badaa ya gunnwaan aadi banane ka pardarshan nahin karega. Weh to paropkar karta hua sadharann jeevan jeeta hai.

7.) Prayaha abhimann aur ahankar se rahit pranni sab samasyaon ka dridta aur shanti se hal karta hai, weh prayaha dukhi nahin hota. Phir bhi poorva janamon ke kiye karmon ka pahla yadi usey dukh bhi deta hai to pareshan nahin hota, dridta se samasya ka hal nikal leta hai.