Anupam: Guruji sadar pranam.guruji shri ram to ved gyani the phir unhone dhobi ki bato me aaker mata sita ka tyag kyo kia.guruji jab dropadi ka cheer haran hua tha to kya shri krashn ne jaisa serials me dikhate hai unke cheer ko badha dia tha ese hi ki thi.kya mahabharat me is ghatna ka isi roop me ullekh hai.guruji jo shiv tandav istrot hai veh kya vedo me varnit hai ya kisi rishi muni ne likha hai.
Swami Ram Swarup: My blessings to you, beti. Sri Ram ne Mata Sita ko kabhi nahi tyaga. Dhobi walee kahani jhoot hai, kaalpanik hai iska varnnan Valmiki Ramayan mein nahi hai, isliye yeh kahani apramannik evam jhooti hai.

Nahi, cheer aise nahi badaya tha aur Mahabharat mein aisa ulekh nahi ha . Nahi tandav istrot vedon mein kaise varnnnit ho sakte hain, unka varnnan vedon mein nahi hai. Ved Ishwareeya vanni hai aur anya vanniyan Ishwar vanni nahi hain. Jub vedon mein nahi hai to is apramannik katha ka Rishi-muni kaise varnnan kar sakte hain.

Vidhyanand: Please send me Shrimad Bhagwadgeeta-Ek Vedic Rahasya-Pratham Bhag;
Shrimad Bhagwadgeeta-Ek Vedic Rahasya-Triteeya Bhag;
Shrimad Bhagwadgeeta-Ek Vedic Rahasya-Chaturth Bhag.
Swami Ram Swarup: I think books have since been received by you. Please confirm.

Dushyant: Thank you.
Swami Ram Swarup: You are welcome, please.