Tekendra: Pranam gurubar,,,,,,,meri samasya kya he mujhe pata nahi,jab samasya hi pata nahi to hal kese nikalu,,yahi ek karan he mere dukh ka ,,aur aap he sab ko par tarnewale sadguru,,aapse badi umid he mujhe ki aap nujhe sahi marg batayange,,,,hey munibar me ek kshetriya kulme janma kuwa daridra danab hu,,jisne anekou pap,duskram kiye he,,me dharmik banna chahta hu,lekin dharm kya he mujhe to yahi pata nahi,,me church me gaya manko santi nahi mili,mandir me gaya pujari ki jagah bepari mila,,,,school me teacher jhootha laga jo ki sirf bhautik sararik sukh de sakta tha,,na ki manasik,,,me vedic gurukulam me padna chahta tha gharse 1hi putra bolke bivinn bilap karne lage ,,,me bhatak raha kavi allah sachcha lagta to kavi ram kavi ishu to kavi buddha man ,,chanchal mano jese bina lagaamka ghoda ,,,kyu ki mere pash guru nahi jo ish bhabsagar se mujhe par tare,,,, mene kahi mandiro me minnate pukare ki kohi nahi bola ,,me murakh tha bhala patthar kese bolte,,,man abhi v bhatak raha sansar me itnesare dharm,bhasaye,saskriti,sabhyataye,barn,aakhir kese sambhab he ,,aakhir sach kya he agar chandra hamara bhagwan he to ,,usme nasa ke baigyanik kese,,,yadi gau hamari mata devi heto uska maans grahan karneke baat muskimoko kuchh bhi asar parbhaw kyu nahi hota yaha tak ki guru dev mene khud gau maans grahan kiya he parantu mujhe kuchh nahi huwa,,,abi bhi mere man me bahut anginad yase sawal he jiska mujhe uttar nahi milta me bahut paresaan rahta hu aakhir satya kya he yah manab juwan me berth gawana nahi chahta kripaya mujh par kripa kijiye maharaj om namo narayana.
Swami Ram Swarup: My blessings to you, beta.

Rigved mein kaha hai ki manushya ka shareer dekar jeev ko Bhagwan ne sansar mein isliye bheja hai ki weh apne pichhle janamon ke paap evam punnya karma ka phal kramashaha dukh aur sukh ke roop mein bhoge aur jo karma vartmaan Jeevan mein karega uska phal weh jeev agle janamon mein bhoge. Lekin agar jeev kisi vedon ke gyata vidwaan ka sang karke ved marg par chalta hai to ek samay aisa aata hai ki weh paap karne yogya nahi rehta aur uska paap karma bhi nasht ho jaata hai. Isliye aap sthaneeya kisi vedon ke vidwaan se sampark karein aur unse nitya agnihotra karne kee shiksha grahann karein.Ishwar naam ka simrann aur yogabyaas seekh kar uska abhyaas karein issey sukh shanti prapt hogee.Dharma ke Vishay mein ek answer neeche paste kar raha hoon:-

Dekho beta, yeh sab goodh gyan hai. Yadi aap sach-much mein sache jigyasu honge to avashya samajhane kee koshish karenge ki parlay ke baad jub prithvi kee rachna hotee hai tub amaithunee srishti ke manushya agyani hote hain. Unhein wahaan gyan koi nahin de sakta. Kyunki gyan dene wale sabhi gurujan pichchlee srishti mein apne shareer tyaag chuke hote hain. To yeh Ishwar ka niyam hai ki us samay sirf swayum Ishwar hee se utpann chaar vedon ka gyan Ishwar chaar Rishiyon ke hriday mein utpann karta hai. Aur wahi sacha Ishwareeya gyan aajtak guru parampara se prapt ho raha hai. Han! Beech mein ved vidya kisi karann se samapta ho gayee jisse hum manushyon ne ved se alag hokar apne-2 naye marg mazhabon ke roop mein banaye hain,lekin prithvi par abhi bhi thoda-bahut Ishwar ka diya hua vedon ka gyan jeevit hai. Sri Krishna Maharaj kee Bhagwad Geeta mein sampoornna Vedic gyan hee hai. Toh aap apne karma ke baare mein prashan ka uttar Bhagwad Geeta ke third chapter ke 15th shloka mein dekh sakte hain, jismein kaha hai ki Hey Arjun! Vedon se hee sab karam utpann hote hain, aur hey! Arjun, ved swayum Bhagwan se utpann gyan hai aur Ishwar Yajyen mein pratishthit arthat Pooja jaata hai. Dharam ka arth hee kartavya karam hai- jaise Manusmriti mein Bhagwan Manu ne kaha- “Vedah Akhilaha Dharmam moolam” arthat Dharma vedon se utpann hai. Yahaan Dharma ka arth kartavya karma hai. Atah Dharma Ishwar banata hai manushya nahi. Aap isey theek-2 samjhein ki vedon mein jo dharma arthat kartavya karma karne ko kaha gaya hai, manushya jub unhee karmon ko karta hai to usey dharmik purush ya dharmik naari kehtey hain. Dharma ke gyaara lakshann bhi kahe hain-

1.) Dhriti (Dhairya rakhna).
2.) Kshma
3.) Dum
4.) Asteya
5.) Shauch- Raag-dwesh na karna, shareer, mann saaf rakhna.
6.) Indriya nigraha- Indriyon ko dharma (Vedic shubh karmon) mein hee chalaana.
7.) Dhi- Satya purushon ka sang karke aalsya pramaad ka tyaag karke yogabhyaas se buddhi mein gyan badaana.
8.) Vidya- Prithvi se lekar Parmeshwar tak ka yathaarth gyan prapt karna.
9.) Satya- Jo padartha jaisa ho usko waisa hee samajhna.
10.) Akrodh- Krodh aadi doshon ka tyaag karna.

Insaan ka dharma hai ki Vedic marg par chalkar vedon mein kahe shubh karma karna hai, iske liye vedaadhyayan zaroori hai. Kyunki vedaadhyayan karna bhi manushya ka dharma hai aur dharma ke jo upar dus lakshann likhey hain unpar chalna, unko Jeevan mein dharann karna manuhsya ka dharma hai. Isee se Bhagwan kee kripa manuhsya ko devta banaatee hai aur uskee raksha karke moksh tak pahunchatee hai, isliye Jeevan mein ved marg par chalna manuhsya ka sabse uttam dharma (kartavya) hai. Dharma ke vishaye mein aap mere likhee do Vedic pustakein avashya padein-

1.) Bhagwad Geeta-I, II, III, IV.
Yeh pustak vedon par adharit hai aur sansaar mein likhee huee abhi tak kee sab vyakyaon se alag vyakhya hai kyunki ismein sabhi Geeta ke shlokon ko ved mantron se jod diya gaya hai.

2.) Vedic Satsang Sangrah- I.
Ismein ek chapter kewal Dharma kee vyakya par milega

Shanti kewal sachchey ved ke vidwaan dwara Vedic gyan prapt karke hee prapt hotee hai.
Aapko ved ke vidwaan guru ka ashray prapt karna chahiye. Kahin na mile to local arya samaj mandir mein chale jaana, wahaan koi na koi vidwaan avashya milega.

Chandrama jad padarth hai, weh Ishwar nahi. Ishwar nirakar- shareer rahit janam mrityu rahit, srishti rachne, paalne aur sanhaar karne wale divya gunnon wala hai. Ishwar ke anant gunn, anant Shakti hai jiska varnnan kewal kewal ved mein hai isliye aap ved ke vidwaan ko khojo. Aapne gau maansa grahann kiya, yeh bada paap hai, ved marg par chalkar hee yeh paap nasht hoga aur avashya ho jaayega. Ab aap kewal shuddh shakahari bhojan hee grahann karein kyunki Ishwar ka vachan hai ki weh koi paap maaf nahi karta lekin yadi koi maans khana chhod de to us manushya ka maans khane wala paap maaf kar deta hai.

Anupam: गुरुजी सादर प्रणाम।आपके द्वारा कहे मंत्र व प्रवचन रोज सुनने को मिल रहे है बहुत बहुत धन्यवाद।गुरुजी एकादशी का वैदिक महत्व क्या है।आपकी पुस्तक में लिखा है कि पूर्णिमा मावस व एकादशी को हवन करने चाहिए।पूर्णिमा व मावस का वैदिक महत्व लिखा है।कृपया एकादशी का भी बताए।गुरुजी मेने कुछ लोगो से सुना है कि वह जो एकादसी पर व्रत रखते है उसका पुण्य किसी ओर को दे सकते है।क्या ऐसा संभव है गुरुजी जब सत्य ज्ञान से पूर्ण वेद थे ही तो पुराण क्यो रचे गए ।आपने तो उनका अध्यन किया है उनका कौन कौन सा ज्ञान सत्य है।गुरुजी आपसे एक निवेदन हैकि जब यज्ञ की पूर्ण आहुति हो जाए उसके बाद रामायण पाठ के साथ साथ क्या आप वेद मंत्रों का अर्थ श्रृंखला बद्ध तरीके बताना भी प्रारंभ कर सकेंगे।आपका बहुत उपकार होगा।वेद ज्ञान प्राप्त करने की बहुत इक्छा है।
Swami Ram Swarup: My blessings to you, beti. Havan to beti nitya hee kiya jaata hai, Ekadashi ke din bhi usee nitya ke havan mein aa jaata hai. Han! Amavasya aur poornima ke din Yajyen karne ka mahatva hai, hum pehle bataa hee chuke hain. Khud ka kiya karma phal khud hee bhoga jaata hai. Han! Yajyen mein aap kisi anya ke liye prarthna aur kaamna kar sakte hain. Ek niyam hai jo maine kayi baar bataaya hai ki kisi bhi vastu-vichaar aadi ko satya siddh karne ke liye ved mantra ka pramaan dena avashyak hai. Atah yadi kisi ke vichaar ved mantron se tally nahin hote to weh vichaar ved ke gyataon dwara jhootha mana jaata hai, jaise ved mein kaha Ishwar nirakaar hai. Ab yadi koi kitnee pustakein likhe athwa pade jismein Ishwar saakar bataaya hai, to vidwan us saakar bataane wale purush ko chaaron vedon mein kahe kisi ved mantra ka pramaan dena hoga ki jis mantra mein yeh kaha ho ki Ishwar saakar hai aur yadi aisa koi mantra nahin hai to Ishwar ko nirakaar hee maanana padega.