VJ: Maharaj ji prnam.maharaj ji main naam jap, pranayam,g gayatri jap or hawan roj kar raha hu.maharaj ji mujhse ye sab sahi ho raha hai ya koi galti ho rahi hai kripa karke margdarshan kar dijiye.maharaj ji main bahut bure dour se gujar raha hu.maharaj ji sirf aap hi mujhe is dour se mukti dila sakte hain kripa kijiye gurudev kripa kijiye. Pranam maharaj ji.
Swami Ram Swarup: Mera aapko hardik ashirwad beta. Aapkee sadhna theek chal rahee hai parantu parivaarik/dhan kee pareshaani ke karann mann pareshan rehta hai. Aap sadhna karein, purusharth karein, Ishwar sabka rakshak hai, sabkee raksha karega.

Devang: Guru ji ko sadar charan sparsh.I want to ask the meaning of this ved mantra…..YE TRISHPTA PARIYANTI VISHWA RUPANI VIBHRATA VACHASPATIR BALAM TESHAM TANVO ADHYA DADHATU ME….. because it’s meaning is also not given in the “SANDHYA MANTRA” book.
Swami Ram Swarup: Mera aapko hardik ashirwad beta. Aajkal main Yajyen mein busy hoon atah arth karne ka samay nahi hai, beta. Han! Itna avashya hai ki mantra mein shabda Brahma ka gyan prapt karne ke liye prarthna kee gayee hai. Shabda Brahma ka arth hai- Vedic Sanskrit bhasha aur ved mantron ke shabdarth, bhaavarth jaanana.