Anonymous: Swami jee charan sparsh yajurveda ki Madhyandina aur kanva samhita mein kya fark hai swami jee dhanyvad.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Vedon kee kai shakhayein hain, lagbhag1127 shakhayein hain. Iska arth yeh nahi hai ki char vedon kee kai shakhayein ho gayee hain. char ved to jaise hain, vaise hee char ved raheinge. Shakha ka arth hai- kisi vedmantra ka Rishi dwara vyakhyaan karna. Jaise Aashvlaayan aadi rishiyon ke naam se shakhayein prasiddh hain. Jaise Taiteeraya shakha mein Rishi ne Yajurveda ka pehla mantra “ Ishee tvorjjje tva…ityadi prateek maankar ke vyakhyaan kiya hai. Atah sab shakhayein Rishi muni krit hain.