Prakash: SWAMIJI PRANAM, I AM HONOURED AGAIN BY YOUR ANSWERS . MY SINCERE RESPECTS TO YOU. “NAV VARSH KI SHUBH KAMNAYEN”
Swami Ram Swarup: My heartiest blessings to you. Thank you, please. Wishing you a happy, prosperous new year.

Madhuri: Aadarneeya swami ji, sadar namaste! mere pichhle prashnon ka uttar dene k liye apka hardik dhanyavad! kripaya meri nimna shankaon ka bhi smadhan karen:
1) chitta kya hota hai? sanskaar kya hota hai aur yah kabhi nashta hota hai ya nahin? yadi humane koi sakaam karma kiya hai to kya uska sanskaar hamesha rahega (mukti se lautne ke baad bhi)? yadi haan to phir to hum asankhya karmon ke sanskaaron ko har samay apne sath liye rahte hain! inme se kaun se sanskaar kis samay kitne prabhavi hote hain?
2) kya hum isi janm me mukt ho sakte hain?
3) vairagya ko jeev swayam gyan se utpanna karta hai ya phir anek janmon tak bhogon ko bhogate huye jab wah unse oob jata hai to swatah hi vairagya utpanna ho jata hai? hum anek jeevon ko dekhte hain ki wah ishwar ke swarup ka sahi gyan na hone par bhi virakt hain wahin doosari or anek jeev ishwar ke swaroop ka shabdik gyan hote huye bhi aur yahan tak ki virakti ki ichchha rakhte huye bhi virakt nahin ho pate, aisa kyun hai?
4) swami dayanand ji ne satyarth prakash me jo yogyatayen char ashramon me pravesh ke liye batayi hain, unme se kisi bhi ashram ki yogyata ko na rakhne wale ko kya karana chahiye? wo kaise nirdharit karen ki unke liye kaun sa ashram upyukta hai?
5) kya kisi aushadhi ke sevan se smriti ya tark shakti arthat chitta ya buddhi prabhavit ho sakti hai? sadhanyavad, Madhuri
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my daughter. You are welcome, please.
1.) Chitta ussey kehte hain jispe insaan ke achchey-burey karma karne ka sanskar ban jaata hai jissey chitta vritti bhi kehte hain. Uchit samay aaney par chitta ka sanskar jaagta hai arthat prabhav mein aata hai aur achcha sanskar ho to jeev ko punnya aur sukh milta hai aur bura sanskar ho to jeev ko paap aur paap ka phal dukh bhogna padta hai. Jaisa upar kaha ki chitta par kiye hue karmon ka jo asar hota hai ussey hee sanskar kehtey hain. Jaise kisi ne paap kiya to chitta par paap ka sanskar (vritti) pad jaata hai aur samay aaney par us paap ka phal Ishwar dukh ke roop mein deta hai. Aisey hee punya karega to punya ka phal sukh milega.

Sakaam karma achcha ho ya bura ho, dono ke sanskar chitta par rehte hain aur samay aaney par achcha bura phal dete hain. Mukti se lautne par naye sanskar bante hain. Kaunsa sanskar kab prabhavi hoyega iska lekha jokha kewal Ishwar ko hee maloom hai.

2.) Kathor vedic sadhna se yadi issee janam mein par-vairagya prapt ho jaaye to issee janam mein bhi mukti sambhav hai.

3.) Vairagya vedaadhyayan, nitya agnihotra/ yajyen, naam jaap, kathor Ashtang Yog sadhna karne par Ishwar-Guru ki kripa se hota hai. Ishwar karma, gyan, Upasana, Prakriti, Jeev ityadi ka vedaadhyayan dwara shabdik gyan aur uskey paschat kisi mahan acharya ke sanrakshan mein upar Ashtang Yoga aadi sadhna karne par hee sansar se virakta arthat vairagyavan hua jaata hai. Bas yahi ek marg hai, ab isme yeh kehna ki Ishwar ka swarup ka sahi gyan na honey par koi virakt ho jaata hai, aisa kabhi nahi hota. Yeh ved-shastron ka niyam nahin hai. Niyam upar keh diye gaye hain. Ishwar ke swarup ka kewal shabdik gyan hone par bhi koi virakt nahin ho sakta.

4.) Agar chaaro ashram mein se koi bhi yogyta kisi ko prapt nahin hai to ussey yogyta prapt karne ke liye sadhna karnee chahiye. Ashram nirdharit karne ke liye kisi vedon ke gyata vidwan ke paas jaana chahiye. Wahi ussey batayeingey. Iskey ilawa aur koi rasta nahin hai.

5.) Han! Aushadhi ke sewan se, satvik vichaar se aur poornna roop se Brahmacharya dharann karne se smriti aur chitta evam buddhi prabhvit hotey hain. Aapko mera ashirwad, beti.

Basant: Namaste adarniy swami ji, Maine apki website me padha ki dharmmegh samadhi prapt yogi ghar chhodkar sannyas le leta hai. To isse siddh ho gaya ki sri krishn aur ram ki dharmmegh samadhi nahi lagi thi. Isse apka kahna ki krishn moksh prapt yogi the yah kaise satya ho sakta hai ? Please uttar den.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Dharammegh Samadhi sanyas leine ke baaad ya grihasth ashram dono mein hee lag saktee hai. Hamare puraatan Rishi-Muni aadi sabhi grihasthi mein hee hue hain aur unkee Dharammegh Samadhi lagee hai. Aur kai cases mein jab sanyas leiney ke baad Samadhi lagti hai weh Yogi Samadhi lagne se pehle hee ghar chhod chukka hota hai atah ussey ghar chhodney kee zaroorat hai. Aur jab grihasth ashram mein Samadhi lag jaatee hai tab bhee ghar chhodney kee zaroorat nahin. Isliye, Sri Krishna Maharaj aur Sri Ramji ka Samadhi prapt karke Grihasth ashram mein rehna theek tha.

Suraj: Swamiji pranaam, mere mann me kai prasn hai, jiska uttar chaiye,Swamiji maine suna hai ki kalyug mein wohi log janm lete hai to papi hote hai, main jaanna chata hu ki kalyug mein janm lene waale kis yug mein paap kiye hai, kya ve satyug, tretayug aur dwaparyug mein paap kie hai isliye kalyug mein janm hua hai. Aur maine yeh bhi suna hai ki jo ache karm karte hai usi ko manusya yoni jeevan ka Vardan milta hai, to hum ne, kis yug me kis yoni me kya ache karm kiye, jo hame manusya yoni ka wardan mila.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Nahin asia koi vidhaan nahin nahin hai ki kalyug mein paapi hee janam leitey hain. Kitnee hee mahaan atmaon nein kalyug mein bhi janam liya hai aur weh ved-shastron, Ashtang Yog vidya ke gyata hue hain. Kalyug kya kisi bhi yug ka arth hai ek Nishchit samay ki avadhi. Kalyug ki avadhi four lakh, thirty two thousand varsh hai. Pichchle janamon ka lekha jokha koi bhi nahin jaan sakta. Hamein kewal present ka dhyan rakhna chahiye ki hum present mein manushya shareer paye hue hain isliye achchey vedic karma karke moksh prapt karein.