Anupam: Swamiji namastey.kal mene you tube per vinod kumarji dwara liya hua aapka interview dekha.aapne bahut sehej tereeke se satya prastut kiya .accha laga.kya aap arya samaj dharma ko manne vale hai.guruji ved gyan jo aapke article padhkar ya prashno ke utter padhkar milta hai vo mere alp gyan ke karan kai gigyasaye jagata hai.asha hai aap unka niwaran karte rahenge.guruji aapke utter se shardh sambandhi kuch brantia to miti per ye bataye ki geeta ke 9ve adhaya ke 25ve shlok me likha hai ki devtao ko pujne vala devtao ko prapt hota hai or Petro ko pujne wala pitro ko.apke kisi anya ko diye utter se jana ki mratu ke tereh din bad phir se apne kermo ke anusar janam mil jata hai.to jab marne ke bad phir jamn ho gaya to pitra se yaha kya aashay hai.dusari gigya.aapke profile me dekha ki aapne puran bhi pare hai.kya purano ka gyan satya hai.yadi satya hai to usme jitna thora bahut mene jana hai ye gyan ved gyan se bahut alag hai.krapya satya gyan de.guruji mere prashno ka utter samay milne per awasya de.namastey.
Swami Ram Swarup: Namasteji. Dhanyawad beta. Main Arya Samaj ke niyamon ko manta hoon aur Arya Samaj ke function attend karta hoon, Jub bhi woh mujhe aamantrit karte hain. Aap apne prashan bhejte rahein, Ishwar kripa se main unka samadhaan karta rahoonga. Prashan-uttar karke hee Vedic prammanon dwara satya sthapit kiya jaata hai. Jin dharmon mein insaan ko prashan karne ka adhikaar nahin hai, wahan andhvishwas phailne ka khatra hota hai. Waise bhi prashan karna ved kee agya hai.

Pitra ka saamanya arth paalne wala hota hai. Ab paalney wale mein sabse pratham Parmatma, uske pashchat Mata-Pita aur Vedic shiksha dekar paalan-poshan karne wala vidwan, yeh mukyataha teen vibhutiyaan aatee hain. Parantu ved mantra aur kisi bhi Shastra-Geeta aadi granth main yeh shabda wahan kis sandarbh mein prayog hua , yeh vidwan hee jaanta hai aur iska gyan shraddaluon ko deta hai. Jaise Upnishad mein ek sthaan par aata hai- devyaan marg aur pitrayaan marg jiska arth hai ki yadi jeev dev arthat devtaon ke marg par chal raha hai aur moksha prapt karne ka adhikari ho jata hai aur yadi koi manushya pitrayaan marg par chalta hai to weh baar-baar janam aur mrityu ko prapt hota hai. Yahan pitra ka arth- Mata-Pita ka marg hai. Arthat ved marg par na chalkar kewal dhan kamaana, grihasth mein pravesh karke Mata-Pita kee tarah santaanein utpann karna aur ant mein mrityu ko prapt karna aur punaha karmanusaar janam lena ityadi. Dev, devta shabdon ka arth bhi vedon aur yog vidya ka gyan prapt kiya hua vidwan hai. Vastutaha Rigved kehta hai ki Baat is baat par aakar tiktee hai ki yadi koi jigyasu vidwan (ved aur yog vidya ke gyata)
kee sharann mein rehkar ved vidya ko prapt karta hai to weh pratyek shabdon ke arthon ko theek-2 jaanta hai anyatha nahin. Isliye hamein Ishwar kee agya maankar vedon ko vidwanon se sunna chahiye.

Bhagwad Geeta shloka 9/25 mein “Devvrataha” shabda aaya hai jiska arth hai vidwanon kee bhakti karne waley. Ismein mukhya shabda dev hai, dev ka arth hee vedon ka gyata vidwan hai. Bhagwad Geeta keh rahee hai ki jo vedon ke gyata vidwanon kee bhakti, seva karke ved vidya prapt kar letey hain, weh devyaan arthat vidwanon ko prapt hotey hain arthat swayam vidwaan ho jaate hain aur jo pitrivrataha arthat pitron kee bhakti karne wale hain arthat kewal mata-pita ke marg par chalne wale hain weh pitreen arthat pitron ko prapt hotey hain. Purannon ka adhiktar gyan vedon se milta nahin hai parantu jaise Prakash ka gyan isliye hota hai ki hamein andhere ka bhi gyan ho isliye vedon mein vidya aur avidya donon ka hee gyan prapt karne ka aadesh hai. Isliye maine barson pehle puranon ka bhi Adhyayan kiya hai. Mera aapko ashirwad.

Ekta: Namaste. I want know the procedure of yam ka diya Thankyou
Swami Ram Swarup: Namasteji. Matter yam ka diya does not exist in Vedas. So, nothing can be stated. However, in Vedas, there are five yam and five niyam.

Yam= Satya, ahimsa, asteya, brahmacharya, aparigrah.
Niyam= Shauch, Santosh, tap, swadhyaya, Ishwar Praneedhananee.
Yam raj is also the name of God. But Yam ka diya is not mentioned in Vedas.