Anonymous: My wife is plump. My family doesn’t like her at all. To me it doesn’t matter.
Swami Ram Swarup: When it does not matter to you then its O.K. please and I appreciate and bless you for your pious views that you love your wife. You continue to shower your love on your wife, which you are doing already and in the same loving situation, you advise your wife not to worry in the matter and tell her at your level best that nobody is against her.
B: Namaste atyant aadarniy aaryavar swami ji, Main ek tathakathit sanyasi ke galat updesh ko maanane ke karan schizophrenia namak gambhir mansik bimari se peedit hun. 2 sal pahle ki bat hai main iit ki coaching kar raha tha. main shuru se hi dharmik pravritti ka hun. isliye main mukti ke prati gambhir raha hun. main facebook ke jariye dharmik sandesh deta tha. mera man ishwar prapti karne ko tha. us samay mein bahut chintit tha. mujhe ishwar ne chetawani di ki mujhe engineering karna chahiye nahi to bura hoga. mujhe lagta hai ki main us samay yogi ban gaya tha. lekin mujhe padhai ke sath sath samadhi ki bhi chinta thi main janana chahta tha ki satyarth prakash mein aisa kyun likha hai ki samadhi dasha me ishwar pratyaksh hota hai. usi samay facebook me ek sanyasi kahne lage ki “ishwar ka jyan hone par yathawat sanyas lete hai” isi tarah anek prakar se kai bar sanyas lene ko kahne lage. maine unse mukti ke vishay me prashn pucha to unhone kaha ki samadhi me jab panch klesh dagdhbeej honge tabhi moksh hoga. samadhi me pratyaksh karna hi padega. maine unse kaha ki maine 5 sutron ka anubhav kiya hai arthat meri samadhi lagi hai. to unhone khandan kar diya. maine unse pucha ki kya gautam buddh ka vairagya sacha tha to unhone bataya ki gautam buddh ka vairagya sacha tha lekin adhura tha pura nahi tha ve apar vairagya tak thoda pahunche par vairagya thik se nahi hone ke karan ishwar tak nahi pahunch sake. maine socha ki gautam buddh ishwar ko nahi manta tha. rajkumar tha. bahut bhog karta tha. bhog karne se dukh hota hai vah apar vairagya hai us dukh ko aur badhaya jay to par vairagya hoga. maine dukh utpanna kiya meri budhi bhrasht ho gai. maine unse ye bat batai to ve aag babula ho gaye . aur mujhse kahne lage ki tumhare ab tak ke itihas ko dekhne se pata chalta hai ki tumhari buddhi thik nahi hai tum kuch ka kuch samajh lete ho .mujhse patrachar mat karna. fir usne meri mafi mangane par bhi mujhe block kar diya. aur dhamaki bhi di ki mujhse bat mat karna. swami ji us sanyasi ke updesh aur vyavhar ke karan mujhe schizophrenia ho gaya. swami ji main kya karun?
Swami Ram Swarup: Mera tumhein hardik ashirwad. Deerghaayu evam sukhi jeevan prapt karo. Kisi bhi haalat mein insaan ko apne patience (dhairya) nahin khona chahiye. Isliye aap is beemari ka ilaj achchhe se achchhe doctors se karao. Sath hee rozana gayatri mantra ka arth sahit path aur gayatri mantra se hawan karo jisse jeevan mein aur ilaj mein aaney wali badhayein khatam ho jayein. Mukti ke liye kisi mukti prapt yogi ka hee sahara chahiye aisa vedon mein jaisa kee Atharvaveda mantra 7/2/1 mein bhi kaha hai. Mukti ke liye vairagya aur mukti kee baatein kisi vidwan se vedon ke dwara pahle pahle kewal sunee hee jaati hain. Parantu sunne ke sath sath sadhak rozana Ishwar ke naam OM ka jaap , hawan, Yajyen aur Ashtang Yog sadhna apne nitya ke shubh karya karte karte karta rehta hai. Yeh sab shubh karya, weh sadhak kisi ved evam yog vidya ke gyata , vidwaan kee sharann mein rehkar karta hai. Aise sucharu roopse karee sadhna ke baad hee sadhak is janam athwa agle janamon mein vairagya ko prapt hota hai. Sri Krishna maharaj nein bhi Geeta Shloka 7/19 mein aisa kaha hai ki kai janamon ke baad hee sadhak Ishwar ko prapt karta hai. Kathor sadhna karne wale sadhak, is janam mein bhi prapt kar sakte hain. Isliye Samadhi prapt karne ke liye nitya kee upar kahi vedic sadhna aur dhairya kee avashyakta hai. Aapne engineering chhodkar ke apne student kee moral duty (kartavya karma) chhod dee parantu jab chhod dee to chhod dee, ab uskee chinta na karein, ab to apnee sehat ko ilaj se theek karein.padai ke sath Samadhi kee chinta nahin hotee hai, apitu sadhna aur padai dono mein sath sath tarakki kee jaati hai. Ishwar ka gyan jab prapt ho hee jaye to sanyaas leine ya na leine se koi farak hee nahin padta kyunki asal mein sanyas Ishwar prapti ke liye hee liya jaata hai. Samadhi mein 5 klesh dagdh arthat nasht nahin hotey, weh to Samadhi se pehle hee chip se jaate hain aur jyun jyun upar kahi yog sadhna badtee jaati hai dheere dheere unka prabhav smapt prayah ho jaata hai.
Dukh ko badaya nahin jaata, sadhna se dukh ka nash ho jaata hai aur vairagya mein to anand kee prapti rahtee hai. Isiliye to vairagya mein ichchhayein bhi samapt prayaha ho jaatee hain aur jeev vivek sheel banta jaata hai.
Ab aap Samadhi aur us sanyasi kee batein chhod do kyunki sanyasi nein bhi tumhein chhodne ke liye keh diya hai, yahi achchhee baat hai. Ab aap sabse pehle apna achchha ilaj karo phir kisi vidwan ke paas jaakar ved vidya grahann karo. Sath hee sath apnee padai shuru karo.
Ayesha: Moon was formed when planet named theia collapse with earth.
Swami Ram Swarup: Whatever you’ve mentioned, that moon was formed when planet theia collapsed with earth, does not exist in Vedas. So, learned of Vedas do not accept it, being unauthentic.