Sunita: Guruji ko namaskar aap se maine phele bhi qus kiya tha. Aapene kha tha aur qus puchena ho pucho. Chlo maan lo god karmo ke saza dete hai. fir asa kyu hai america me kya sbe ache karmo wale log rhete hai. jbeki wo ved ka koi rule follow ne krere drink krena marriage ke phele rel . india pooja krene me number one sbe jyda dukhi kyu hai. aapne kha aaj ke santane school clg ke parivesh me palete hai. fir agr hum bharmcharye me rhekar uttam santan ke iccha kse kr skte hai.. fir kse hmere bramcharye ka fyda hmeri santao ko kha mila .ek ore aap bolete ho bramhcharye se uttam santane hoti hai duseri ore agr santan ye sbe krene ke bd bhi achi ne hui to useme parivesh jimedaar hota hai. agr hum dukhi hai to hmere last born ke karme kharab. tb hum dukhi. kya saare sariff america me hai . india me kyu ne .
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my daughter. Beta yeh maanne ya na maanne kee baat nahi apitu yeh Ishwar ka banaya hua atal niyam hai jo Rigved mantra 10/135/1,2 mein bhi varnnit hai ki hum manushya apne kiye pichhle karmon ka bhog bhogne aaye hain aur ab jo kareingey usey agle janamon mein bhogeinge.achchhey bure ka nirnnaya dhan-daulat ke upar based nahi kiya jaata. Aisa hota to shabri, ahilya bai, rishi-muni sab beehad janglon mein aur gufaon mein permanand kee prapti nahi karte. Aap samajhne kee koshish karo ki kisi bhi desh mein yadi manushya dhan-daulat ka sukh paa raha hai to weh apne pichhle janamon ke kiye karmon ka phal bhog raha hai parantu Ishwar kee bhakti ke bina, chahe dhanwaan ho chahe gareeb ho, sabhi andar se dukhi hain. India ho ya koi desh ho aaj sabhi ko yeh samajhne kee zaroorat hai ki yeh sansaar Ishwar ne banaya hai aur uska maalik /swami Ishwar hai. Isliye hamein Ishwar se utpann ved vanni ko samajhkar karma, gyan, aur Pooja aadi karnee chahiye ved ke khilaaf jo bhi karma, gyan athwa Pooja hai, ismein kabhi bhi sukh nahi milta aisa vedon mein kaha hai. Kya karan hai ki pichhley yugon mein aaj ke mazhab aur sant sadhu samaj kuchh bhi nahi tha, kewal Ishwar se utpann ved vidya ke anusar ghar ghar mein karma, gyan aur upasana karke samaj bahut hee sukhi tha har kshetra mein unnatti thee. Koi dukh, beemari, yudh, naari apmaan, bhrashtachaar chor dacaitee ya hinsa aadi ka namonnishan nahi tha. Isliye yadi aaj bhi hum ved vidya ko apna lein to vishwa mein shanti, bhaichara kayam ho jayega, aisa hamare rishiyon ke likhe granth jaise Valmiki Ramayan, Mahabharat , Shatpath Brahmin Granth, aadi pramann sahit keh rahe hain.

Baat to wahi hai yadi buddhijeevee aur Sarkar schoolon mein aur ghar-ghar mein ved vidya ka gyan nahi de saktee to khamiyaja bhugatna hee padega arthat dukhon ke sagar mein hamein gote lagane hee padeingey.

Jaise surya nahi nikalega to andhera to hoga hee. Ab koi kahe ki schoolon, collegon mein aur gahr- ghar mein andhera kyun hai to ek hee jawab hai ki surya nahi nikal raha. Isee parkar schooolon, collegon aur ghar- ghar mein hinsa, kalah pareshaniyan aadi anek samasyayein kyun hain to iska ek hee answer hai ki hum ved marg par nahi chal rahe. Isliye dukh to uthane hee padegein jub ki pichhle yugon mein gurukul jinmein aaj kee vigyan, karma pooja aadi kee uttam shiksha vedon se dee jaati thee. Isliye wahan long life thee aur sukh-sukh tha. Brahmacharya se nishchit hee achchhee santaan dheerghaayu walee rog rahit utpann hotee hai. Ab iske baad kewal brahmacharya kaam nahi karta bachchey kee vedanusar parvarish bhi zaroori hai.

Pichhley karmanusar jo janam hua manushya ka to weh achchhey bhagya kee baat hai ab chahe yeh manushya ka janam kabir, Shabri aur anek gareeb sadhkon ke ghar mein hua ho ya Sri Ram, Sri Krishna Maharaj, Raja Harishchandra jaise ameer khandaan mein janam hua ho parantu asal baat yeh hai ki gareeb ho ya ameer usne Sri Ram, Si Krishna Maharaj, Shabri, harishchandra ke jaise ved vidya seekhee aur uspar chala ya nahi.yah hai sukhi rahne ka tareeka. America ho ya koi aur desh crime rate dekho kitne hain, yudh kitne hain, hinsa phail rahee hai, nafrat phail rahee hai. Aap kewal doosrey desh ko na dekhein apne desh ko bhi dekhein. Phir vedanusar gareeb- ameer ka koi lein-dein nahi hai, weh to karmanusar hai. Sawal to yeh hai ki manushya ka shareer pakar pichhle yugon kee bhant , manushya ne ved marg apnaya ya nahi.

Sunita: Guruji aap god ko bhut karib se jane ho. ek bte aur aap khete ho non veg mt khao. egg mt khao bt agr ise duniya me rhena hai jo yaha ke chezo ka istemaao krena hoga. phele to itni milawat ne thi per aaj agr hum sugar use kre use saaf krene ko haddiyo ka chura milaya jata hai. toothpaste har ek cheze asi hai. agr hu non veg ne khate bt indirect to use kr he re na. kya wo paap ne hai.
Swami Ram Swarup: Agar is duniya mein rehna hai to hamein is duniya ke banane wale Parmeshwar kee agya mein rehna hai aur Parmeshwar ne vedon mein seedha seedha keh diya hai ki jo non-vegetarian khayega usey main kathor dand doonga.

Vegetarians

Vegetarians and non-vegetarians are two categories. Accordingly the construction of body i.e., teeth, small intestine and large intestine, and digestive system has been made by God.

Human beings come in vegetarian category. Our teeth and digestive system are different from that of cat, dog, lion etc. Some animals like cow, buffalo, goat, elephant etc., also come in Vegetarian category. We take water by sipping but the animals who are non-vegetarian i.e., meat eaters they do not sip but lick. Whatever we eat, that food develops our mind and body and creates natural behaviour. For example if we take a cub who is newly born and nurse him by giving milk and thereafter vegetarian food only and on the other hand to another cub we provide him meat, then when they will be younger their habits will differ. The cub taking vegetarian food will not be as violent as the cub who took meat.

Now medical science also says that the energy in vegetarian food is more than that in non-vegetarian food. Vegetarian food gives long and ill free life. Vegetarian elephant is stronger than non-vegetarian lion.

Nobody can take meat until one inflicts violence on animals or birds etc., which is a sin. Our stomach becomes a graveyard where we gather meat by eating. As regards life in vegetarians it does not harm to them while plucking from plants etc. because every vegetarian plant has short life and is meant to give food to the human life. But to us meat is not entitled. Science has recently told that non-vegetarians are more susceptible to cancer disease and teeth degeneration as compared to vegetarians.

Non-vegetarian food is prohibited as per Vedas, shastras, Upnishads and all the ancient holy books. In vegetarian food an ocean of calories and vitamins is available by the mercy of God. Please check from a dietician about the same. Because it is lengthy one and I cannot explain here. For example dal, is full of proteins, soybean has more protein than any non-vegetarian food, which has ability to inhibit cancer also where as non-vegetarian doesnot. Green vegetables like palak, methi, etc., are the richest source of iron and vitamin A. So is the case of milk, curd, rice, fruit, etc.

Niyam ko todna hee paap hai. Isliye jo aap keh rahein hai aur uska phal dukh ke roop, mein hum sub bhog rahein hain. Parantu avidya grast honey ke karann Yog Shastra sutra 2/5 mein kaha hai ki hum dukh ko hee sukh maan letey hain isliye hum brahmit hain, hamein ved ka gyan nahi hai.