Gauraa: What is mool dosha?………would you please elaborate a bit about it………please tell me in simple language as I do not know grah nakshtra more.
Swami Ram Swarup: Mool dosh matter does not exist in Vedas, so being unauthentic, learned of Vedas do not accept it. I would advise you to leave the matter and go ahead for pious deeds and follow Vedic path for a long, happy life.

Mahek: Guru ji namaste… Guru ji Jb mai gayatri mantra ka jaap krne baithti hu tb mai puri tarah apna Dhyan Dono eyes k beech concentrate nhi kr pati hu.. Dhyan idhar udhar chala jata hai… Kya karu aisa k mai puri tarah concentrate kr pau?
Swami Ram Swarup: Namaste beti. Dhyan ek jatil vishya hai parantu itan bhi jatil nahi ki kiya na ja sake. Dhyan karne ke liye hee to Ishwar ne vedon mein ashtang yog vidya ka updesh kiya hai. Ab kathinai yah hai ki aam ved virodhi sant ityadi dhyan mein baithney ki baat karte hain parantu vedon ka gyan na hone ke karann yeh satya nahi jaante kee dhyan ashtang yog vidya ka satvaan (7th) ang gai. Pehle 6 ang hain Yam, Niyam, Asan, Prannayam, Pratyahar, Dhranna. Ab jab tak koi in 6 angon mein siddhi prapt nahi karta arthat theek theek abhyaas nahi karta tab tak dhyan nahi lagega. Aap ko main advice karta hoon ki yog Shastra sutra par jo maine comments kiye hain usmein Ashtang yog vidya ke pratyek ang par bhi detail se samjhaya hai. Agar aapke paas weh pustak nahi hai to aap yadi chahein tab apna postal address bhej kar book mangwa sakte hain, jise padkar aapko ashtang yog vidya ka gehrai se gyan ho jayega.

Rahul: Sir mane apase kuchha dino pahale question kiya parantu answer nahi mila kirapya mujhe uttar de mere ghar par karaya hua hai jise 17saal hogaye ant nahi hua bahut se tantrik khoj dale prantu ilaj nahi 12 saal se mahaidi pur balaji ki paise setham gaya lekin abi tak gaya nahi pleas answer de date 27/12/2015 bahut presan hai.
Swami Ram Swarup: Aapke question ke answer diye ja chuka hai. Please check and confirm.