Javed Ansari: Insaan ke paas mans ko hazam karne ke liye aant hai . Daant bhi hai aur Insaan sarvahari animal(Chimpanji, kala bhalu) ki tarah pani peeta hai to isse pata chalta hai ki insaan sarvahari hai? Apni opinion hindi me de. Agar aap hindi me jawab nhi denge to mere liye bekar hai kyonki me english nahi janta thanks Mujhe english nhi aati agar aap hindi me jawab nahi denge to mere liye bekar hai Aur ek sawal aur hai ki Namaste aur Namaskar me kya farq hai dono ka hindi me kya matlab hai sandhi vich-chhed karke long detail me jawab den thanks

Swami Ram Swarup: Ansari bhai, Salaam Valekum.

Maine hamesha apne vichar chaar ved, 6 shastra, upnishad aadi purane granthon ke adhaar par hee kahein hain. In granthon ke anusaar insaan sarvahari animal nahin hai. Is ke liye Atharvaveda mantra 6/140/1 saaf saaf kehta hai kee Hey! Ishwar yeh mere dono aage ke nukiley daant jo bhediye kee tarah hain weh kabhee maans (non- Vegetarian) na khaye ityadi. Rigveda mantra 10/27/6 mein Ishwar ka farmaan hai ki main dekh raha hoon kisne animal ko katne ke liye kaha, kisney kata, kisney becha, kisney kharida , kisney banaya, kisney khaya ityaadi. Main (Ishwar) in sab ko sazaa doonga, Manusmriti Shloka 2/177 mein kaha maans aur madira (any addiction) lena manaa hai. Isliye bhai jee main in granthon ke adhaar par hee keh raha hoon. Mera apna kuchh bhi nahin hai lekin jo apne ichhcha ya prerna se maans khate hain unhein main kabhi bhi manaa nahin karta kyunki yeh unka apna vishwaas hai.

Namaste shabda vedon mein aaya hai jiska arth hai ki main aapke liye naman karta hoon, apke sammaan mein jhukta hoon.

Namaste hee se namaskaar shabda bana liya gaya hai parantu vedon mein namsate ka hee prayog hota hai. Namaskaar ka arth bhee jhukkar adar sammaan karne wala karma hai. Namaste kee sandhi vichchhed hai Namah+ Te. ‘Namah’ ka arth hai adar, samman mein jhukna. ‘Te’ ka arth hai tere liye ya aapke liye.

Jiska arth hai kee main aapke liye aadar samman mein namra hota hoon, aapke samman mein jhukta hoon. Namaste se hee namaskaar shabda banaa liya gayaa hai parantu vedon mein namaste ka hee prayog hai.

S C: Please send me Vedas a Divine Light Part III.
Swami Ram Swarup: The books are being sent to you. I thank you for sending the price.

Y M: Dear Swamiji, Thank you for all the replies. Had another query. Is there any relation between skin disease and amavasya days? I have seen myself that my skin condition Psoriasis flares up on Amavasya day and reduces next day. Why is this happening and what should i do to get prevent from this?
Swami Ram Swarup: No, please. There is no relation between skin disease and amavasya day. However, if a person sits under the moonlight of Poornnamasi and takes daily sun-bath(i.e., to sit under sun rays) then he gets benefit in his skin disease. You are advised ro get yourself medically checked up also in Delhi in famous institute of Allergy and skin diseases. I hope you will be benefitted there. My blessings to you, my daughter.