Sumit: Mera kisi kaam me man nhi lagta hai. Mera dil kuch aur bolta hai aur dimag kuch aur.kavi-kavi man karta hai bahut bura bano kabhi aacha banane ka man karta hai. Jisse pyar kiya usse dhokha mila dost se dhokha mila mera marg darsan kijiye ki mai kya karu Maine pap bahut kiye hai par kisi ka bura nhi chaha to fir mere sath bura kyu hota hai.
Swami Ram Swarup: Jub kisi ka mann chanchal hota hai kyunki mann achhey vichaar nahin sunta, ved ke gyata gunnvaan kee sangat mein nahin rehta ya dharmik purushon se gyan nahin suntan tub nishchit hai ki weh mann buron ka sang karta hai aur buree baatein seekhta hai aur phir burai mein sukh aur shanti nahin prapt hotee. Isliye aapka mann kisi ek kaam mein lagataar nahin lagta aur mehnut bhi nahi hotee. Main aapko yahi advice karoonga ki aap nazdeek ke local Arya Samaj mandir mein jaakar Ishwar ke naam simran, Gayatri mantra se havan aur dhyan mein baithna seekhein. Saath-Saath rozana mehnut karke dhan arjit karein to aap par Ishwar kripa karenge. Is vishey mein mera ek answer paste hai-

Beta yeh maanne ya na maanne kee baat nahi apitu yeh Ishwar ka banaya hua atal niyam hai jo Rigved mantra 10/135/1,2 mein bhi varnnit hai ki hum manushya apne kiye pichhle karmon ka bhog bhogne aaye hain aur ab jo kareingey usey agle janamon mein bhogeinge.achchhey bure ka nirnnaya dhan-daulat ke upar based nahi kiya jaata. Aisa hota to shabri, ahilya bai, rishi-muni sab beehad janglon mein aur gufaon mein permanand kee prapti nahi karte. Aap samajhne kee koshish karo ki kisi bhi desh mein yadi manushya dhan-daulat ka sukh paa raha hai to weh apne pichhle janamon ke kiye karmon ka phal bhog raha hai parantu Ishwar kee bhakti ke bina, chahe dhanwaan ho chahe gareeb ho, sabhi andar se dukhi hain. India ho ya koi desh ho aaj sabhi ko yeh samajhne kee zaroorat hai ki yeh sansaar Ishwar ne banaya hai aur uska maalik /swami Ishwar hai. Isliye hamein Ishwar se utpann ved vanni ko samajhkar karma, gyan, aur Pooja aadi karnee chahiye ved ke khilaaf jo bhi karma, gyan athwa Pooja hai, ismein kabhi bhi sukh nahi milta aisa vedon mein kaha hai. Kya karan hai ki pichhley yugon mein aaj ke mazhab aur sant sadhu samaj kuchh bhi nahi tha, kewal Ishwar se utpann ved vidya ke anusar ghar ghar mein karma, gyan aur upasana karke samaj bahut hee sukhi tha har kshetra mein unnatti thee. Koi dukh, beemari, yudh, naari apmaan, bhrashtachaar chor dacaitee ya hinsa aadi ka namonnishan nahi tha. Isliye yadi aaj bhi hum ved vidya ko apna lein to vishwa mein shanti, bhaichara kayam ho jayega, aisa hamare rishiyon ke likhe granth jaise Valmiki Ramayan, Mahabharat , Shatpath Brahmin Granth, aadi pramann sahit keh rahe hain.

Baat to wahi hai yadi buddhijeevee aur Sarkar schoolon mein aur ghar-ghar mein ved vidya ka gyan nahi de saktee to khamiyaja bhugatna hee padega arthat dukhon ke sagar mein hamein gote lagane hee padeingey.

Jaise surya nahi nikalega to andhera to hoga hee. Ab koi kahe ki schoolon, collegon mein aur gahr- ghar mein andhera kyun hai to ek hee jawab hai ki surya nahi nikal raha. Isee parkar schooolon, collegon aur ghar- ghar mein hinsa, kalah pareshaniyan aadi anek samasyayein kyun hain to iska ek hee answer hai ki hum ved marg par nahi chal rahe. Isliye dukh to uthane hee padegein jub ki pichhle yugon mein gurukul jinmein aaj kee vigyan, karma pooja aadi kee uttam shiksha vedon se dee jaati thee. Isliye wahan long life thee aur sukh-sukh tha. Brahmacharya se nishchit hee achchhee santaan dheerghaayu walee rog rahit utpann hotee hai. Ab iske baad kewal brahmacharya kaam nahi karta bachchey kee vedanusar parvarish bhi zaroori hai.

Pichhley karmanusar jo janam hua manushya ka to weh achchhey bhagya kee baat hai ab chahe yeh manushya ka janam kabir, Shabri aur anek gareeb sadhkon ke ghar mein hua ho ya Sri Ram, Sri Krishna Maharaj, Raja Harishchandra jaise ameer khandaan mein janam hua ho parantu asal baat yeh hai ki gareeb ho ya ameer usne Sri Ram, Si Krishna Maharaj , Shabri, harishchandra ke jaise ved vidya seekhee aur uspar chala ya nahi.yah hai sukhi rahne ka tareeka. America ho ya koi aur desh crime rate dekho kitne hain, yudh kitne hain, hinsa phail rahee hai, nafrat phail rahee hai. Aap kewal doosrey desh ko na dekhein apne desh ko bhi dekhein. Phir vedanusar gareeb- ameer ka koi lein-dein nahi hai, weh to karmanusar hai. Sawal to yeh hai ki manushya ka shareer pakar pichhle yugon kee bhanti, manushya ne ved marg apnaya ya nahi.

Mahek: Guru ji pranam… Happy new year guru ji and give me your blessings..
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my daughter. Same to you, beti.