Ram: Pranam Guruji Guruji I am a student and wanted to ask that can I do meditation and yoga early in morning at 5 after doing brush and sauch etc but without taking complete bath and take a bath before doing havan later in the morning.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Yes, you may do as you mentioned.

Kunal: Pranaam swamij…swamiji maine net par padha tha ki dharamshastra aur narad smriti mein likha hai ki ,women is not defiled by her lover,her sin of adultery is washed away by her menstural cycle? swamiji aisi baaton kolikhne ka kya aimhogalogo kajinhoneaisalikha?kya yeh ved virudh hai?
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Ved, shastron aur sadgranthon mein purity (shuddhta) Brahmacharya aur kewal punnyavaan karma karne kee prerna hai. Naari kee shuddhta hamesha hee rehtee hai lekin jaise shareer par garda ityaadi padta rehta hai to shareer ko phir se shudddh karne ke liye snaan karna padta hai issee tarah nari ke maheene ke jo teen din hain, ussey jo ashuddhta aati hai weh punaha snaan aadi karke shareer ko shuddh kar detee hai. Iska yeh arth nahin hai ki naari koi adharmik ya paapyukta vishaye-vikaari karma karey to bhi weh nahaa dhokar shuddh ho jayegee. Nahaa dhokar shareer shuddh hota hai, mann shuddh nahin hota. Mann to dharamacharann, Yajyen, yogabhyas aadi Vedic shubh karma karke hee shuddh hota hai aur jo nari ho athwa purush, jub koi bhi paap yukta karma karega tub Bhagwan kshma nahin karta apitu ghor dukhdayi dand deta hai, yeh ved-shastron ka niyam hai aur jin dharamgranthon kee aap baat kar rahein hain weh ved virudh hone ke karann satya nahin mane ja sakte. (Yog Shastra sutra 1/7 refers).