Vinay: Maharaj I am planning to start a convenience store. Where I need to sell cigarettes, cooldrinks, redbull, v drink, pies which includes meat (we don’t prepare anything, we get readymade, we just sell them). Can you please suggest me if I can go head and do this business or not? Heaps of thanks in advance Maharaj.
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my son. As regards cigarettes, pies including meat etc., and wine, I cannot recommend the said items, please. Otherwise, my blessings are with you.

Rahul Bose: Kaurav nam kyu rkha?
Swami Ram Swarup: Naam karann sanskar rishi-muni karte aaye hain, Isliye us samay ke Rishiyon ne unka naam Kaurav rakh diya.

Krishna: Brahma gyan kya hai..aur ye kise kise prapt hua?
Swami Ram Swarup: Brahma gyan ke do arth hain. First, shabda brahma arthat ved mantron ka acharya dwara adhyayan. Secondly, ved ka Adhyayan karte huye usmein dee hui shikshaon ko Jeevan mein utartey huye arthat satya bolna, brahmacharya dharann karna, rozana hawan/Yajyen ved mantron se karna, yogabhyas karna , Ishwar ke naam ka simran karna, grihasth ke sabhi shubh kartavya karma karna aur is prakar Ishwar kee anubhooti tak pahunchna, yeh hai Par brahma.

Jo Jo is marg par chala, un sabhi Rishi-muniyon aur grihasthiyon ko yeh prapt hua aur baaki sab andh-vishwas, aadamber aur paap-karma mein lipt hokar dukhi rehtey hain.