Danish Khan: Aur Quran ke according kayamat ke din yani vo din jab mahavinaash hoga aur logo ko badla diya jayega yani is life ke baad koi aur mauka nhi milega.. to iss sidhhant ko apnane me zayada benefit hai kyuki agr galat hue(joki nhi honge) to koi nuksaan nhi lekin agr ye siddhant sahi nikla to aap mahagumrah hai kyuki in islaam the faith on the day of resurecction is one of the most important pillar.. and who dont have faith on it he will be from the people of hell where if skin burnt totally by hellfire thn a new skin will given to you as a punishment and death will nt cm to you…may ALLAH guides you..
Swami Ram Swarup: Quran sharief ka hum sabhi aadar karte hain . Isee tarah Christianity, Sikh mazhab, Jain, Bodh sabhi ka sabhi ko aadar karna chahiye aur karte hain. Ismein bhaav yahi chhupa hua hai ki jis ne jo mazhab apnaya usey us mazhab se sukh aur shanti prapt karnee chahiye aur maanavta kee seva jo har mazhab mein taleem hai, us taleem ko zaroor apnana chahiye. Ab jahaan tak mera sawal hai, main apney adhyatmik secret kisi ko nahin batata, sirf itna hee kehta hoon ki mujhe Param shanti ved marg par chalne se ayee hai. Ab is marg ko main kaise chhod doon aur isee tarah jis bhi mazhab mein jisko bhi sukh, shanti aur maanvta kee seva ka gunn prapt ho gaya hai, weh achchhee kismat wala insaan apna mazhhab kyun chhod dey, usey nahin chodna chahiye. Han! Hum maanvata kee seva ke liye sadaa tayyar rahein jiskee shiksha har mazhab mein hai. Bhaijaan gumrah weh hota hai jisne tapasya nahin kee aur sachchai ko mehsoos (experience) nahin kiya. Main samajhta hoon ki hamare sab mazhab hamein gumrah honey se hee to bachatey hain aur sath sath hamare sab doubt khatam karte hain.

So, we must follow our respective sects faithfully.

Danish Khan: Aur agr punarjanam siddhant sahi hai to us hisaab se ped podhe janwar aaj ki tarikh me aur badhne chahiye the kyuki jaisa ki hum sub jante hai ki death rate badh raha hai aur zalim aur mujrim log he hai vo jo mar rahe hai to vo janwar ped podhe ban kyu nhi rahe jabki ye sb(janvar ped podhe ) ghat rahe hai…
Swami Ram Swarup: Ved ke anusar to punarjanam siddhant Ishwar ka banaya hau hai aur hundred percent sahi hai.

Janam marann ka control Ishwar ke hath mein hai aur janam-marann ke numbers (sankhya) bhi usee ke hath mein hai. Ishwar hee karmanusar har pranni ko janam mrityu ka phal deta hai. Ab yeh to Ishwar hee jaanta hai ki ped podhey jo kat rahe hain woh dubara ped podhey ya janwar kee shakal lengey ya kisi aur yoni mein jayeingey kyunki ek boond paani mein na jaaney kitni jeevatma(roohein) hain. Is tarah samudra mein na jaaney kitnee roohein hain. To ped podhey, janwar etc., us jeevannu (microbes) ke roop ko dharann kartee hain to unkee gintee insaan nahin kar sakta kyunki woh dikhai nahin dete aur innumerable hain.

Phir Ishwar ne jeevatma ko karmanusar jo shareer dena hai, chahey insaan, janwar, pakshi, ped-podhey , jeevannu or keet-patang etc., to Ishwar ka main maksad jo vedon mein kaha hai, weh shareer ke zariye jeevatma ko uske karma bhogney ke liye dena hai kyunki chahe manushya yoni kee sankhya ghat jaaye ya bad jaaye athwa anya pranniyon (birds-animals) kee sankhya ghat jaaye ya bad jaaye parantu jeevatma kee sankhya hamesha constant rehtee hai aur usey Ishwar koi bhi shareer uske karma bhogne ke liye hee deta hai.

Ped-podhey cut gaye, pashu-pakshi mar gaye, pani mein se kitne jeevanu mar gaye to weh sub manushya shareer bhi to dharann kar sakte hain ya anya yoni dharann karein. Isliye maushyon kee sankhya badtee nazar aa saktee hai. Parantu main yahi kahunga ki yeh sub Ishwar ke adheen hai. Hum toh uske banaye hue Yajurved mantra 7/48 aur Rigved mantra 10/135/1,2 ke aadhar par keh rahey hain ki sankhya ghat-bad saktee hai aur Ishwar souls ko shareer isliye deta hai ki weh apne pichhley janamon ke kiye karmon ko bhogein aur present janam ke kiye achhey –burey karma, koi bhi yoni karmanusaar paakar bhogein.