Anonymous: मैं ग्रंथो का पालन करने की कोशिश कर रहा हूँ लेकिन वे बहुत कठिन हैं।

स्वामी राम स्वरूप: बेटी वेदों में तो स्पष्ट ज्ञान है कि सत्य मार्ग यानि वेद मार्ग पर चलने के लिए प्रेम पूर्वक पुरुषार्थ करना चाहिए। क्योंकि इस जन्म में यदि वेद का ज्ञान प्राप्त नहीं किया तो असंख्य योनियों में भटकते हुए महा दु:ख प्राप्त करते हुए दु:ख रूपी सागर में डूब जाना होता है। तो ये जीवन व्यर्थ न चला जाए। प्रत्येक प्राणी को इस पर ध्यान देना चाहिए।

Anonymous: Aur guru ji aap agar kahenge ki har female ko protection ki zarurat hai to uske liye esa protection kyun jo unke hi against ho jaye?

God ne jab female ko esa banaya hai ki unh protection ki zarurat hai …to unh itna capable bhi banana chahiye tha ki wo apna protection bhi kar saken

Humesha wife apne husband ko obey kregi…ya apne papa ko obey kregi

Esa kahi male ke liye kyun nahiii???

Swami Ram Swarup: Beti Maine upar kaha ki male aur female dono ke liye vedon mein ek se niyam kahe hain koi partiality/ favourism nahi hai kyunki punya ya paap arthat sukh ya dukh jeevatma ko bhogna padta hai, sharir ko nahi aur jeevatma na istri hai na purush, haan gender uska masculine hai.

Valmiki Ramayana mein ek jagah yeh bhi likha hai ki kanya/ nari sar se lekar pair(feet) tak sone ke gahne pahankar yadi aadi raat ko bhi kahin akele safar karti thi to usey koi dar mehsoos nahi hota tha aur na hi usey koi hath laga sakta tha kyunki us samay Vedic rajya tha jiske karan chor, lutere aadi nahi hote the aur nari ke pass brahmacharya ki shakti aur marriage ke baad Pativrata shakti hoti thi ityadi.

Ab problem to yahi hai ki logon ke pass ved ka gyan nahi raha isliye agyani aur sanshyayukt ho gaye.

Beti Mera aapko bahut bahut aashirwad sada sukhi raho.