Prerna: Aadarniya Guru Maharaj ji,aapko Mera bahut pranam. Aapse kuch kahane ke aagya chahungi aur bahut dhanyavad Dena chahungi. Kuch mahino se meine havan karna shuru keya hai, jeevan me pahale baar ek sahi desha mili hai aapke margdarshan se, manav jeevan aur ishwar ka sahi aarth samajh aane laga hai. Mera Mann hamesha vayathith raha hai bhautik vaad bhare sansar me. Ab ishwar aur guru bhakti or moksha he ek lakshya hai jevan ka. Aap jeise mahan yogi ko jaankar jeevan dhanya huva. Maharaj ji , kripya karke mujhe aagya de ke mein aapse deeksha lene aa saku or ved marg pe chalakar is manushya jeevan ka sadupyog karke he is deh se jau. Aapko Mera bahut bahut pranam! Aapki beti, Prerna

Swami Ram Swarup: My blessings to you, my daughter. Beti aapke vichar vishwa mein sabse uttam aur Ishwar ko priya lagne wale vichar hain. Charon vedon mein Ishwar ne yahi updesh kiya hai ki jeevatma ko yeh manushya ka shareer kisi ved ke vidwan ke aashray mein vedmarg par chalkar arthat nitya agnihotra aur kabhi kabhi guru ashram mein aakar Yajyen karna, nitya Ishwar ke naam ka jaap karna tatha guru se sekhee hui Yog vidya ka abhyas karna iske sath sath nitya grihasth ashram ke shubh karma karte hue ved marg par chalkar Ishwar prapti arthat moksha ka sukh prapt karna hai. Beti yahaan nitya Yajyen hote rehte hain. Aap yahaan avashya aayein aur apna mobile number bhejkar bhee aap nitya ved pavachan aur Yajyen sun sakte hain. Aapka mobile number yahaan judh jayega. Mera aapko ashirwad beti jisse aap hafte mein kai baar ved mantra kee vyakhya sun paayenge aur mantron kee aahuti bhee daal paayeinge. yahi Ishwar prapti ka marg hai. Aapko mera hardik ashirwad beti.

Kapil Chandra: Yes. Namaste acharyaji. Kya din mein haldiwala milk pee sakte hain?

Swami Ram Swarup: Namaste ji. Din mein haldi wala dhoodh peene mein koi burai nahi hai. Raat mein yadi peete hain to weh doodh thoda adhik sa fayda deta hai.