Rajat: Parnam Guru ji.. वेदों के मुताबिक और जैसे आपने भी बताया है. God needs no assistance to do deeds of universe. उनका ज्ञान देने के लिए कोई भी असिस्टेंट नहीं है toh उनके द्वारा भेजे गए ज्ञान यानी के Vedas को उन्होंने 4 ऋषि को क्यों दिया क्या वह एक असिस्टेंट के जैसे नहीं लगते.
Swami Ram Swarup: My blessings to you.

Yog Shastra sutra 1/26 mein Rishi Patanjali ne kaha-

Srishti ke aarambh mein Parmatma char Rishiyon ka guru hota hai, char Rishi further Brahma naam ke manushya ko char vedon ka gyan de dete hain aur is tarah se Brahma se guru parampara prarambh ho jaatee hai to un char Rishiyon ka Parmeshwar guru hota hai par woh char Rishi Parmeshwar ke assistant nahi hote. Gyan diye bina gyan nahi hota. Agar Ishwar char Rishiyon ko gyan na de to srishti mein kisi ko bhee gyan nahi ho sakta isliye Ishwar apnee swayam kee power se char Rishiyon ke hriday mein char vedon ka gyan prakat karta hai, Jisse manushya jaati ka kalyann ho.

Biju: You always bring tears of gratitude in my eyes …thank you so much pranam at your lotus feet.
Swami Ram Swarup: My heartiest blessings to you, my son for a long, happy life.

Anupam: Dhanyabad guruji.
Swami Ram Swarup: Ashirwad Beti.