A K Kashyap: Swami ji namastay. Lekin swami ji ye bhi to ek dum satya hai ki aakash ki koi seema nahi hai or jiski seema nahi usse pare ki baat karna hi niradhaar hai?
Swami Ram Swarup: Namaste ji. Bhautik akaash kee seema hotee hai. Parantu Ishwar kee koi seema nahi hai.
Jyotish: Swamiji in mantro ka matlab-
yagurved 6/13
yajurved 6/25
yajurved 8/1
yagurved 8/3
yajurved 8/10.
swamiji ,
q1-yeh ved k kis hymn se gyaat hota hai ki brahmchaari ka matlab, hai ki aadmi aur aurat shaadi se pehle opposite sex k baare mein dreams mein bhi na soche tak na aur nahi apna semen loose kare..kya aap uska hymn ka sanskrit -english transliteration de saktey hai?
q2- swamiji kuch log kehte hai ,brahmcharya ka matlab yah nahi ki, shaadi se pehle sex nahi kiya ho,but iska matlab hai jiske saath humne shaadi se pehle sex kiya hai ussey humemotionally attached na ho.kya aisi koi vese hai jo shaadi se pehle brahmcharya ki defination batati ho..
Swami Ram Swarup: Jin Yajurved mantron kee aapne vyakhya mangee hai woh ek lengthy work hai jo abhi main apne rozana ke adhyatmik karyon mein jude hone ke karann ab nahi kar paunga.
Doosra agar aap chahein to yahaan se “Brahmacharya dukh nivarak divya manni” namak meri pustak manga kar padkar Brahmacharya ke baare mein apnee shanka samadhan kar sakte hain.Yadi pustak mangwane ki ichchha na ho to koi baat nahi.