Raju: Swamiji, hamare rishimuniyone kamasutra jaisi book kyun likhi? Usme kaise polygamy maintain ki jaayein,doosro ki biwi ko kaise seduce kiya jaaye,polygamy karne kasandesh,vyeshyaon tak ki baatein ki hai ..aisibaatein likhne ka kya udesshya tha rishivatsayan ka..kya yeh baatein ved virudh nahi?
Swami Ram Swarup: Rishiyon ne Brahmacharya maintain karke deergh aayu evam nirogta prapt karne ke Vishay mein likha hai jaisa aap keh rahe hain waisa kaamsutra aadi ke baare mein nahi likha.
Shashi: Guru ji Pranam Sansaar main itni zayda souls ki creation kaise hoti jaati hai Roz it ne log janam lete sab aatmayein kaise Kahan se aa rahi. Please samjhaiye.
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my daughter. Do tatva ajar, amar, avinashi, Chetan aur swayambhu hain. Ek Parmeshwar, doosra souls. Parmeshwar ek hai, uske naam anek hain. Parantu souls ka naam soul hee hai aur souls unlimited hain, unginit hain. Jaise manushyon ke, pashu-pakshi, keet-patang, ped-podhon ke shareer aadi hain, utni hee un shareeron mein rehne walee souls hain. Na to God ke mata-pita hain aur na hee souls ke mata-pita hain arthat na to kisi vastu se souls ka nirmaan hota hai aur na hee Parmeshwar ka kisi vastu se nirmaann hota hai. Yeh bhaav Charon vedon mein hai, for example- Yajurved mantra 40/8 mein God ke vishaye mein jahaan usey Swayambhu kaha hai aur Yajurved mantra 7/3 mein souls ko swayambhu kaha hai. Swayambhu ka arth hai, Parmeshwar aur jeevatma kisi se utpann nahi hote aur na hee God aur souls se koi doosree vastu banyaee ja sakti. Yeh donon, chetan, avinashi, sadaa rehne wale tatva hain, banate-bigadte nahi hain. Jeevatma kee sankhya asankhya avashya hai parantu hai constant arthat hai ek nishchit sankhya mein kyunki jeevatma ka naya nirmaan nahi hota, yeh janam-marann, banne-bigadne se pare hai.