Rishi: Guruji, Apke pass agar diabetes ka koi ilaz ho to batayen. Jis se ye rog puri tarah se thik ho jae. Please help me. OM.
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my son. Rishi beta, mere paas diabetes ka koi ilaaj nahi hai. Aapko allopathy doctors se hee advise lekar theek samay par dawai khaatey rehna chahiye. Aapkee deerghaayu bane rahegee, sukhi rahoge. Apko bhojan par bhi control karna hai aur rozana sair aur halki exercise bhi karnee hai. Din bhar mein kum se kum 10-12 glass paani ke roz peene hain. Mera aashirwad tumhe beta.
Kunal: Pranaam swamiji.touching your holy feet.. swamiji mere pass English mein yajurved k do writers k translations hai. Swamiji yeh dono yajurved hymn 23/21 k alag alag translation batate hai. In dono mein se kaun sa sahi hai swamij? Kya aap mool shabdarth sahit translation aurphiruskabhaav bata sakte hai swamiji,jaaise ki aap apni anmol kriti geeta ek vedic rahasya mein karte haii.
kya swamiji isme casual sex yani ki promiscuity ya hir adultery hatane ki baat ki hai ,ya phir dono ghatiya harkaton ko hataane ka parmatma ne nirdesh diya hai?
swamiji aapne famous pornban k vishya meinsuna hoga.jiska hamare desh vaashi bohat virodh kar rahe hai.kya vedo k anusaar yeh sarkar ka sahi decision tha? aur jo desh waasi iss shubh decision ka virodh kar rahe hai ,ya iswar unhe dand degaa? woh kehte hai hum dekhhi toh rahe hai ,kar thodi na rahe hai? paap toh jolog aisi filmein bana rahe hai unhe lagegea..iska koi vedic jawaab kisi ved ka koi ved hymn jo in vishyoar iswar ka nirdesh de?
Swami Ram Swarup: My Heartiest blessings to you, my son.
“ Utsakthya Av Gudam Dhehi Samanjim Charya Vrishan,
Ya Streennaam Jeevbhojanaha.”
(Yajurved Mantra 23/21)
Hey! (Vrishan) shaktimaan raja (Yeh) jo (Streennaam) istriyon ke (Jeevbhojanaha) prannon ka bhakshann karne wala arthat vyabhichari purush ya vyabhicharinni istree hai, us purush aur istree ko pakad kar aur (Utsakthya) us praja [ us istree , purush ke ] ke upar ko pag karke dand dein aur apnee praja mein (Gudam) vishhay- kreeda ko (av) raksha (dhehi) dharann karein arthat aisee Vishay vikari kreeda ko nasht karein tataha (anjim) nyay ka (sam charya) sanchar karein.
Bhaaav yeh hai ki desh main jo Vishay –vikaar ke gadh hain jahan nar-nari vyabhichaar karte hain un nar-naari ko kathor dand dekar shasan aisey durachari addon ka nash kare.
Mantra ka yeh bhi bhaav hai ki raja aise vyabhichari nar nariyon ko pakad kar unhein ulta latkka kar kathor dand de auur praja mein aise Vishay vikaari kreeda ko sadaa ke liye nasht karein.
Vivah se pehle opposite sex ka milna to vedon mein paap hee kaha hai atah aisee paap yukta karma se nar nari sadaa door rahein. Vivah ashram mein santaan parpti ke liye hee prem poorvak pati patni aapas mein milte hain.
Samved 1874 mein kaha :-
“Bhadram Shrinnuyaam Karnneybheehee Bhadram Pashyam Akshay Bhihee “
arthat hum kaanon se sadaa kalyannkari vachan sunein aur ankhon se sadaa kalyannkari drishya dekhein. Atah paayukta vachan sunna aur paapyukta drishya dekhna bhi Charon vedon ne paap hee kaha hai jiska phal dukhdayee hee hota hai. Jaise Ishwar kehta hai ki Main dekh raha hoon ki tuney pashu marne ke liye uksaya. Tuney pashu maara, teesre ne iska maans kata, chauthey ne becha, paanchwe ne khareeda, chhadhe ne pakaya aur jis-jis ne khaya aur ant mein jis-jis ne inke jhoote bartan dhoye main(Ishwar) sabhi ko kathor dand doonga. Isee prakar chahe galat movies kisi ne banayee hon, galat tasveerein, galat batein sunayee hon etc., unko bhi God dand (punishment) deta hai aur jo aisee activities mein dekhne, sunney etc., ka bhog (participate) letey hain, unhein bhi Ishwar dand deta hai.