Deepak: Swamiji charan sparsh kai baar poocha hai aur aapka utar bahut sateek lagta hai ,, ab ek sachai batana chahunga , jab se maine havan vagairah naam jap shuru kiya hai tab se mai financially problems dekh raha hoon , aur jab bhee mai yeh nahi karta kuch dino ke liye bussiness vagairah theek ho jata hai , ,, sach to yeh hai ki jab mai vedo ka marg nahi apnata to devi devta ke mantra vagairah karta hoon. aapki baato par vishvas ke karan aur vedo ke vishvas ke karan havan vagairah nahee chode jaate ,, nahi to aaj aapse sawal na pooch kar usi marg par chal raha hota ,, ek baar vapas 3 dino se havan ka marg pakda hai aur money income bilkul band si ho gayee hai iska kya karan ho sakta hai aur yeh kam se kam 50 baar note kiya ja chuka hai …ek baat aur bhale hi pichle janmo ke achche karmo ke karan lekin jan pahchan valo me 100 jano me jo yaa to devi devta ko mante hai yaa jyada pooja path nahi karte , un 100 logo me se 90 ki jivika bahut achchee chal rahi hai ,,mera man mujhe vedo ke marg par chalne ke liye prerit karta hai lekin jo sath me ho raha hai uska kya,, agar har vakt paise mangne valo ke phone aa rahe ho , sharab vagairah peene valo ko oopar uthte dekh koi kitna sthir rah sakta hai , mujhe 5 saal ho gaye is tarah…

your loving son Deepak

Swami Ram Swarup: My blessings to you. Gareeb-ameer, Sri Ram, Sri Krishna Maharaj tak ne Yajyen kiye aur sabhi khushhaal rahey phir aap dukhi kyun hain? Amrit peekar koi marta nahin hai, zehar peekar hee marta hai. Havan aur naam jaap se kabhi bhi bura phal mil nahin sakta. Han! Yadi havan mein poora dhyan nahin hai, naam jaap mein dhyan nahin aur dimag mein aur devi-devta ya aur kahin-2 jaakar kuch maalum karna ityadi hai to aisey pranni ko sanshaye yukta atma kehtey hain aur Geeta mein bhi kaha-

“Sanshye atma vinashyanti” arthat jisko sanshaye rehta hai, uska vinaash hota hai. Isliye ved aur yog, yogi aur nirakaar Parmeshwar par jeev kabhi sanshaye na karey. Baaki sukh-dukh apne-2 kiye achhey-burey karmon ka phal hai, aise gyan samajh kar Ishwar kee pooja havan aadi dwara, apney bure karmon ka jeev naash karein. Baaaki havan karne se money-income band hogayee, yeh karma-phal hee hai, ismein havan ka dosh ho hee nahin sakta. Phir bhi aapko main yeh kahoonga ki aap havan, ved marg, naam jaap chhod dein aur devi-devta kee pooja mein lag jayein.Phir six months ke baad mujhe likhein ki kya sthiti hai aur ab mujhe likhna band kar dein.

Sunny: Which temple buildup from top to bottom?
Swami Ram Swarup: Sorry, actually human body is the best temple where formless, omnipresent, Almighty God resides.

Sapana: Namste Guruji!! My question is regarding law of karma. Nowadays I can see so many people who earn money by wrong way and then they use some part of the money to donate/making schools/hospitals etc. so how law of karma will apply on them? Whether their good deed will be considered only Or they will get punishment for bad deed n praise for good deed instead the fact that the money used in the good deed is itself earned by wrong way? Dhanyawad!!
Swami Ram Swarup: Namasteji. I can only say about it that one should donate his hard earned money otherwise good result is not awarded by God.

Kamal: Swami ji namaste.. mere man ek sanka kripya door kare. Me ved ka adhayan tatha me vedic gyan prapta karna chahta hu . Kuchh din pehle ek acharya se baat hui mene unko bataya ki me ved ka adhyan karna chahta hu to unhone mujh se meri jaat puchhi. To mene apna jaat bataya to o kehte hai ki tum ved nhi padh sakte aha tak ki tum ved mantra ka uchharan vi nhi kar sakte..tum sudra ho…ved sirf brahmin padh sakta hai…

Swami ji kya ved sirf brahmins ke liye hai ?? Mujhe ved se bohat prem hai par sb mujhe rokta hai tum sudra ho..kya ved har insaan ke liye nhi ?? Me bohat dookhi hu… jb log mujhe achhut bolke tiraskar kiya…kux din baad mene barna bebastha karne wale manu ji kaa book padha unhone bhi sudra ko bareme bohat kux biwadit likha huwa hai….ek maharsi bhala kese kisi manusya se itna vedbhaw kar sakta hai..Kya Brhman, Kshetriya ,Baisiya or sudra sb jann jaat hai?
Swami Ram Swarup: Namasteji. Ved padne ka adhikaar chaaro varannon ko hai aur vedanusaar jaati karmon par adharit hotee hai, janam par nahin. Yeh Yajurved mantra 31/11 mein kaha hai. Isliye aap ved kisi Acharya se pad sakte hain. Mere paas aatey to main padaata par mein toh bahut door hoon. Aap apney nazdeek ke Arya Samaj mandir mein jayein. Wahaan aapko ved kee shiksha milnee shuru ho jayegee. Manusmriti mein kahin aisa nahin likha hai ki shudra ved nahin pad sakte. Han! Aaj Manusmriti mein jhootey shlok mila diye gaye hain jisse bhranti phail rahee hai.