Shan: Pranam Guruji! Har din vedas sunnhe ke liye kuch CD hai kya guruji..

2. Ghar ko saf rakna, decorate karna…etc..jaroori nahi hai..eshwar ye sab nahi chahate. ..

3. Kya real flowers se Ghar sajavat ke liye use nahi karna hai?

Swami Ram Swarup: My blessings to you.

1.) Is samay toh kewal bhajnon kee Cds hai aur har Cd mein Vedic pravachan aur bhajan hai. Doosra yeh hai ki vedaanusaar jigyaasu ko ved sunne ke liye guru ke niwas sthan par pahunchna hota hai jo aaj har pranni ke liye sambhav nahi ho raha. Vedic pravachan You-Tube par bhi aur Mixlr par bhi shayad 180 ke kareeb pravachan available hain. Aap unse roz sun sakte ho. Han! Main yeh avashya vichar kehta rehta hoon ki pratidin pratah kaal ek mantra kee vyakhyaa mixlr par kee jaaye. Dekho! Ishwar yeh kab praambh karte hain.

2.) Vedon mein tan, ghar-bahar, bhojan, vastra aadi sabhi padarthon mein swachchta kee avashyakta hai. Vedon mein pratidin snan aur ghar ko saaf karne kee agya hai. Iske liye Ishwar ne vedon mein yahaan tak kaha ki rozana hawan karo jisse aapke ghar ka vatavarann, tan, mann, dhan aadi pratayek padarth shuddh ho jaaye.

3.) Flowers to baag ke paudhe kee shobha hai. Woh vaayu ko sugandht karte hain. Isliye flowers ko paudhon par hee lage rehna utam hai.

Shan: Pranam guruji.. Guruji kya moksh pane ke liye eshwar kali purush ko he select kart hai. .kya aurat ko select nahi karte? Kya is janam mei aurat hoon aur eshwar ka jaap karti hoon…kya moksh pane ke liye kya eshwar purush aur aurat mei farak rakhte hai? Janam ke time mei eshwar male aur female kaise decide karte hai?..abhi tak koi aurat ke roop mei soul moksh prapat kiya hai?

Thank u guruji…seek ur blessings..

Swami Ram Swarup: My blessings to you. Moksh paane ke adhikari nar-nari sabhi hain. Ishwar pakshpaat nahi karta. Jaisa upar kaha, Ishwar kee bhakti-pooja aadi karne ka adhikaar purush aur naari ko ek samaan hai. Han! Yeh avashya hai ki Ishwar ne yeh updesh kewal vedon mein diya hai. Isliye moksh ka sukh paane ke liye vidwanon kee sharan mein jaakar vedon ka gyan prapt karna avashyak hai. Apne khud ke karmon ke hisaab se Ishwar jeevatma ko nar athwa naari ka shareer pradaan karta hai. Mata Sita, Raja Janak kee pradhanacharya Brahmcharini Gargi, Katyayini, Madalsa, Shabri aadi asankhya naariyon ne vedmarg par chalkar guru kripa se moksh ka sukh prapt kiya hai.