Chetan: Guru ji namaste . maine apse pichli baar pucha tha ki arya samaj kehta hai ki humein bevajah hinsa nhi krni chaiye aur agar koi vjah hai to jrur krni chaiye . to apne kha tha arya samaj vedic dristi aur dharm staphna aur ved prachar aur bhaichara ke liye asa kehta h aur apne kaha tha ki theek kehta hai arya samaj . to kya humein bhi hinsa krni chaiye aur apman ka badla lena chaiye . aur geeta m likha hai ke humein man apman mein samaan rehna chaiye ninda stuti mein bhi . aur hum mein se koi bhi dand dene ka adhikari nhi h . to fir apne kyo kaha arya samaj theek kehta hai .
Swami Ram Swarup: Namasteji. Bhaav yeh hai ki yadi hamare saath anyaye ho raha hai to hum nyaye prapt karne ke liye court kee sharann mein, administrator mein jayein. Yadi wahaan nyaye nahin milta hai to hum isey Ishwar par chchod dein, weh avashya nyaye karta hai. Kanoon haath mein lene se manushya apraadhi kaha jaata hai aur yadi hum sachmuch mein balyakaal se hee kisi vidwaan ke ashrey mein rehkar bhautik tarakki mein shiksha aadi grahan karte hain aur grihasth mein jaakar mehnut kee kamai se dhan arjit karte hain, pariwar ka palan poshan karte hain, dharamacharann karte hain aur bachpan se hee saath-saath vidwaan ke ashray mein rehkar Vedic sadhna karte rehte hain, is prakar bhautik aur adhyatmik donon unnatti saath-saath karte hain to phir hamare Jeevan mein pareshani aaney kee sambhaavnain bahut hee kum ho jaatee hai aur yadi koi aatee hai to usmein Ishwar hamaree raksha karta hai aur ved marg ko chchodkar to hamara Jeevan hee nashta ho jaata hai.

Anupam: Namastey guruji.apne bataya kivedo me aajkal ki jyotish vidhya navgraha puja kalsarp dosh aadi ka ullekh nahi hai to pehle ye kis roop me the.padartha vidhya janne se kya ashay hai.tulsidasji ne kis adhar per kaha kiram shivji ki puja karte the or ravan vedo ka gyata tha.guruji kua apke man me bhi ye prashn aata hai ki ishwar ko shrasti rachna ki aavasyakta kyo mahsoos hui hogi.kya sif isliye ki sabhi unki puja kare.mayavi dunia ke nirman ki aavasyakta kyo mahsoos hui hogi.manusya banakar uski pariksha lene ke peeche kya uddeshya hoga. Guruji mene suna hai ki sabse pehle dunia me 12 mandir bane jo surya chandra taro nakshtro ke the to kya inki puja karni chahiye.
Swami Ram Swarup: Namaste Beti. Pehle to kabhi they hee nahin. Kyunki inka varnnan vedon mein hai hee nahin. Padarth ka matlub hota hai matters jaise loha, chandi, peetal, fasalein, bijli, panni, varsha, Suraj, sitare, pooree science jaise biology, mathematics, physics, chemistry, Jahaaz, ship banana arthat tinke se lagaakar Brahma tak ka gyan vedon se prapt karna. Isey kehte hain padarth vidya. Vidwan jaante hain ki satya ko saabit karme ka adhaar kewal chaar ved hain. Jo vedon mein varnnan hai, weh satya hai aur jiska varnnan vedon mein nahin hai, weh jhoot hai, yeh anaadikaal se chala aa raha atal niyam hai. Is niyam ka varnnan Kapil Muni aur Patanjali Rishi ne bhi apne-apne shastron mein kiya hai. Isliye jo vedon par adharit vichaar nahin hain, weh asatya hote hain. Isliye Tulsiji ka yeh apna swayam ka vichaar hoga. Vedon mein Shivji kee Pooja ka varnnan nahin hai. Doosra, Ravann agar vedon ka gyata hota to Mata Sita ko uthakar kyun le jaata aur Mareechi ke samjhane par bhi Sri Ram se yudh kyun karta aur apne Parivaar ka nash kyun karta. Spashta hai ki Ravann vedon ka gyata bilkul nahin tha. Vedon ka Gyata nitya prataha Sayein ved mantron se havan karta hai. Charitravaan, Satyawadi, madhur bhashi aur indriyon par sainyum rakhne wala hota hai. Weh Ishwar ka gyan prapt kiye hue hota hai. Jabki Ravann mein aisa kuch bhi gunn nahin tha. Weh to Rishi-Muniyon ke aayojit kiye hue Yajyen mein vighna daal deta tha.
Srishtee rachna ek swabhavik kriya hai jo anaadi aur avinashi hai. Ved ka poora gyan suney bina kisi ko bhi Ishwar ke gunn, karma aur swabhaav ka gyan nahin hota. Isliye swabhavik hee hai ki weh manushya Ishwar par sanshaye karta hai. Hamein prempoorvak vidwanaon ke aashrey mein jaakar vedon ka gyan prapt karna chahiye. Ishwar ne manushya jaati ko azaad kiya hai ki chahe weh punnya karey ya paap lekin punnya aur paap karma ka phal kramshaha sukh aur dukh ke roop mein Ishwar deta hai. Bhaav yeh hai ki vedon mein yeh niyam hai ki yadi manushya ved marg par chalkar Ishwar kee Pooja karta hai to weh punnyavaan karma karta hai jiska phal Ishwar usey sukh ke roop mein deita hai, uske dukhon ka naash kar deta hai aur moksha tak de deta hai.

Iske vipreet jo is prakaar Ishwar kee Pooja nahin karta to weh paap karta hai aur niyam yeh hai ki Ishwar unhein dukh hee dukh deta hai aur agle janam mein unhein manushya ka shareer nahin deta apitu bhinn-bhinn yoniyon mein dukh uthaane ke liye bhejta hai. Ab ismein yeh sawaal nahin rehta ki Ishwar apnee Pooja karaana chahta hai, yeh bilkul galat hai. Is vishaye par mera ek article paste karta hoon-

School, college mein jo teacher/professor aadi padate hain unka bhi hamein aadar-maan sammaan karna chahiye. mata-Pita janam dete hain, paalan-poshan karte hain, unka bhi hamein aadar-maan sammaan karna chaiye. Koi hamaree madad karta hai, unka bhi hamein aadar-maan sammaan karna chahiye. Issee prakaar yeh sansaar Ishwar ne banaya hua hai. Yahan tak ki yeh shareer bhi hamein mata ke garbh mein Ishwar ne hee banaa kar diya hai. Ishwar ne hee hamein zinda rakhne ke liye ann-vayu-jal aadi asankhaye padarth banaa kar diye hain. Ab prashan yahi uthta hai ki jis Parmeshwar ne hamein sab kuch diya to kya hamein uska aadar-maan sammaan nahin karna chahiye? Ishwar ne to Charon vedon mein niyam banaya hai ki rozana havan/Yajyen , naam simran aur yogabhyas aadi dwara us Ishwar kee Pooja karke usey hum dhanyawad dein. Nahin to hum ehsaan pharamosh keh layeingey aur sadaa dukhi rahengey. Ishwar kee Pooja se hee sukh milta hai. Jo sukh chahta hai weh Ishwar kee Pooja avashya karey. Is vishaye mein mera ek answer pasted hai:-

Parmatma ko jaanne ke liye, vidwaan se vedon ko sunna avashyak hai. Koi bhi kewal apne dimaag ke aadhar par bhagwan ko nahin jaan sakta. Parmatma se isliye prem karein ki sansar mein bhi agar koi kisi kee madad dil se karta hai to weh pyar ke vash mein hokar hee kar sakta hai. Jahaan pyar nahin wahaan nafrat aur dikhawa aadi hota hai. Ishwar to sabse prem karta hai. Ab hamara farz hai ki hum Ussey prem karein. Weh sansar kee dhan aadi sub cheezon ka data hai, hum Ussey prem aur Uski pooja kareingey to weh hamarey sub bhandar bhar deita hai. Lekin ek baat yaad rakhein ki jub tak vedon ko sunkar hamein Parmatma ke gunn, karma, shakti ka gyan nahin hota to hum Parmatma se sachcha prem nahin kar sakte. Kewal dikhawe wala prem kareingey. Iisliye hum vedon ko sunkar sabse pehle Ishwar ke swaroop ko jaanein.Yahi hamara dharma/kartavya bhi hai.

Beti aapne yeh bhi galat suna hai ki sabse pehle barah mandir bane. Mandir insaanon ne banaye hain, Ishwar kee aagya nahin hai aur mandir do-dhai hazaar saal ke andar hee bane hain, isse pehle mandir nahin bane. I paste my article in this regard as under-

“CREATION”

The creation is eternal and automatic. There is no date of creation of the following:
(A) Almighty God who is alive, immortal, formless, creates, nurses and destroys the universe. He never indulges in any maya, mahamaya, illusion and deeds (good or bad. Yajurveda Mantra 40/8 and Yog shastra Sutra 1/26 also refer)

(B) Soul: Soul is alive, the purest, away from sins etc. but illusion covers the soul due to which soul forgets his original form and hence remains in sorrows, problems etc.

C) Prakriti: Non-alive and has three qualities. i.e., Raj, tam, Satva. At a proper time, the power of God acts in prakriti and the universe is created. So the creation is eternal and automatic.

Raj, Tam and Satva are the three qualities of prakriti. When the said gunnas remain idle dormant i.e., do not work, then combination of these three gunnas(qualities) in dormant stage is called prakriti and this time is called “final destruction” of the universe. When an appropriate time comes, the creation is to be started again. Then the power of God works in the above three gunnas i.e., in the prakriti and immediately the creation starts. Rajo gunn is a sign of sensuousness etc., Tamo gunn signifies laziness and sato gunn signifies ego, pride. Our human body is also made of the said three gunnas.

Vedas tell that there are three eternal/immortal matters- first: Almighty God, second: souls, third: prakriti. Almighty God creates, nurses and destroys the universe and again creates it. The said process of creation is eternal/immortal/everlasting. Almighty God creates the universe from prakriti. When the raj, tam and satva gunnas of prakriti remain idle (dormant condition/inactive) then creation does not take place. At an appropriate time, a power of Almighty God acts in prakriti (i.e., in Raj, tam and satva gunnas). Immediately the process of creation starts and the first matter of prakriti is made which is called –Mahat i.e., mind; from Mahat- ahankar is made, from ahankar panch (5) tan matrayein, from panch (5) tanmatrayein, panch (5) mahabhoot are created. From panch mahabhoot, the entire matter of universe i.e., Sun, Moon air, water, our bodies, bodies of other living beings etc., are created. The whole creation is thus created from prakriti and remains still (in active) like a statue. This creation is called non-sexual creation. In the said creation, the young human bodies are created which are neither old nor babies. Then by the power of God, in the said bodies, breathing system (prann vaayu) starts operating. At last, God enters into the universe and immediately all the humans and other living beings become alive and start functioning. Similarly, the non-alive matters like Sun, moon, earth, air, water etc., start their respective functions.

Creation, Science, worldly matters etc., is not possible until the same is created by someone. Secondly, knowledge is attained when knowledge is imparted by someone.

Rigved mantra 10/129/ 1-6 throw light about creation that at that time, there was nothing and no living beings did exist. So there was no learned acharya who could give the knowledge to the newly created living beings like parents who educate the children to make them able to speak language and to know about the matters like crow, animals, chapati, ghee, sun, moon i.e., all matters of the world. See, if a newly born baby is managed to live in dense jungle and nursed well but he is not given education about the worldly matters etc. i.e., mathematics, science, animals, sun, moon etc., then even at the young age of 20-25, 30 years, he will not be able to speak any language and when he will be brought out of the cave of dense jungle and will be asked about the sun, moon, animals, birds before him, then he will not be able to reply because he was not given the said knowledge.

When we see towards sun, moon, air, space, human body etc. It is clearly understood that the said creation has not been made by any human being but Almighty God, from whom the knowledge of four Vedas emanates. In Vedas, the knowledge right from straw to Brahma has been mentioned. So in the beginning of non-sexual earth, the Vedas originated in the heart of four rishis: Agni, Vaayu, Aditya and Angira, and from the rishis the knowledge of science, deeds and worship along with every matter is being given to the public by which the public became educated scientist and wrote books, etc.

In Vedas as well as in fourth chapter of Yog Shastras of Rishi Patanjali, it is mentioned that those who do not believe in God are provided more and more facilities by nature and such people get spoiled etc.

On the contrary those who worship God, they naturally try to kill their desires and accordingly under the law, nature, help them to follow the true path to realize the God.

It is also pertinent to mention here that in Vedas, there is no mention of avtarwad or any proper noun, please. Vedas do not even contain any story or past, present or future life of anyone. Vedas contain knowledge i.e., entire science, form of deeds/duties and worship of God. Actually Vedas give knowledge right from straw to Brahma (God) of entire universe.

All four Vedas tell to worship a formless, Almighty, omnipresent, omniscient God who creates, nurses and destroys the universe. God was one, is one and shall ever remain one. He is unchangeable, unchallengeable and beyond description. He has unlimited qualities and thus unlimited names but is one. Because He is Almighty and needs no help of anyone to create, nurse and destroy the universe therefore no need to take avtar.