Anupam: गुरुजी सादर प्रणाम।गुरुजी आपके द्वारा भावार्थ की गीता एक वैदिक रहस्य के चौथे अध्याय को पढ़ने से जाना कि श्रीकृष्ण महाराज मुक्त जीवात्मा थे जो अपनी मर्जी से कभी भी जन्म लेकर लोगो का कल्याण करके लौट जाते है तो गुरुजी ऐसी मोक्ष प्राप्त आत्माएं तो जन कल्याण के लिए पुनः पुनः शरीर धारण करती होंगी।क्या योगी जन ऐसी आत्माओ को पहचान लेते होंगे।पर गुरुजी श्रीकृष्ण जी अर्जुन को बताते है कि वह अपने पिछले जन्मों को जानते है पर इससे यह कैसे सिद्ध होता है कि उन्होंने इस योग विद्या के विषय मे विवस्वान अर्थात सूर्य ऋषि को बताया था।यह ज्ञान तो ईश्वर द्वारा दिया गया था आप बताते है वे ईश्वर नही थे ईश्वर के सम थे और गीता के चौथे अध्याय मैं वे खुद को वह ज्ञान देने वाला कह रहे है तो क्या इस तरह की बात सामान्य जन के सामने उन्हें ईश्वर के रूप मे प्रगट नही करती।
Swami Ram Swarup: Blessings beti. Han beti yeh mukta jeevatma par nirbhar hai ki weh shareer dharann karke aaye ya na aaye. Kab aaye aur kab jaaye, itiyadi. Parantu ise avatar nahi kehte, kyunki mukta jeevatma apnee ichchha se shareer dharann kartee hai, Ishwar nahi. Ishwar to kabhee shareer dharann karta hee nahi hai. Ishwar ko Rigved mein Ajah Ek Paadah kaha hai. Aj ka arth hai jo kabhee janam nahi leta. (A=nahi j=janam) Ek Paadah ka arth hai Ek Ras rehta hai, Sadaa Ek Sa Tha, Ek Sa Hai, Ek Sa Rahega. Arthat jo Ishwar ke anant gunn hain, weh kabhee badalate nahi isliye Ishwar ka gunn hai ki Weh janam-mrityu mein nahi aata to Weh janam-mrityu mein kabhee nahi aata, itiyadi.

Han! Yogiyon mein divya drishti hai, jisse weh sab kuchh jaan jaate hain. Shri Krishna Maharaj ke pichhle janam kayee hue hain. Is se yeh siddh hota hai ki Shri Krishna Maharaj jeevatma thei, jeevatma hee yoniyon mein aatee hai, Ishwar yoni mein nahi aata. Janam-mrityu mein nahi aata aur jab koi jeevatma ved marg par chalkar samadhisth hotee hai tab usey uske pichhle liye hue janamon ka smarann ho jaata hai.