Shalu: Charan sparsh swamiji, swaiji mere bete aur bahu ko 8 saal ho gaye shaadike swamijimera beta wiase toh bohat prem karta haibahu se meripar wohbohat gussail swabhav ka hai, agar kisi ,baat pe ussey krodh aa jaye toh woh bohat zor se cheekhta chillata hai aur khari kadwi baatein bolta hai,swamiji kuch dinpehle bete bahu meinladai hone par bahu ghar chodh ke chali gayi au saath ein mere potey kobhi le gayi, aur ab woh mere bete ko potey se nahi milne dete ..swamiji kya aapbata sakte haikya vedo mein stree aise sasural chodh kar jaa sakti hai, aur kya koimata uske pitaah se uskisantaan ko alag kar sakti hai??/swamiji santaan pe vedo ke anusaar kiska adhikaar hai.yadi dono ka hai toh kya mata santaan ko pitaah ke ghar se alag le jaa sakti hai?
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my daughter. Aapka beta,aapkee bahu se pyar karta hai, yeh achchee baat hai parantu sabse zyada pareshani walee baat to yeh hai ki usey bahut zyada krodh aata hai, krodh karne wale kabhi sukhi nahin rehte aur krodhi ke zyadaatar achchey mitra bhi nahin hotey.Ghar ke sadasya bhi uska poora aadar nahin kar paatey. Krodh se kai rog bhi paida ho jaate hain, jaise B.P, pet kharaab aadi. Isliye apne putra ko yeh updesh karo ki beta krodh karna chchod do. Krodh se santaanon par bhi bura asar padta hai. Nari ko apney pati ka ghar kabhi nahin chcodna chahiye. Hamesha pyaar se saath-saath rehna chahiye. Nari ke liye pati poojaneeya hai aur saas-sasur Mata-Pita ke samaan hotey hain. Pati bhi nari kee raksha karey aur usey pyaar de. Issee tarah saas-sasur bhi bahu ko apnee beti ka darja dekar pyaar se rakhein. Yadi itna kuchh hone par bhi patni apne pati ka ghar chchod kar jaatee hai to phir yeh uska durbhagya hai aur weh dukhi hee rehtee hai. Aap uske mata-pita ke paas jao, bahu ko samjhao aur usey waapis ghar mein laney kee koshish karo. Santaan par usee ka adhikaar hai jisko santaan chahtee hai aur jo santaan ka paalan-poshan karey.
Anupam: Swamiji pranam.kya 13 din bad janam lene ka kram sabhi aatmao ke sath hota hai chale ve pakshi ki ho ya jaanver ki.bhai behen mata pita pati patni v anya rishto me bandhna bhi kya hamare prarabdh ke anusar hota hai.jo sant is janam me ramkatha vachak ya krishna katha vachak ya hamuman katha vachak hote hai kya nirakari ishwar unke is bhakti bhav se prasann hote hai ki ve kisi mahapurush ka gurgaan kar rahe hai.unke is kary ko kis roop me dekha jjaye.kehte hai ki shri ktshna aaj bhi nidivan me vrandavan me gopio sang nratya karne aate hai v yadi koi vaha jaker unhe rat me dekhne ke liye rukts hai to veh jeevit nahi rehta.lagbhag sabhi log is bat ke samarthak prateet hotr hai.guruji kya esa ho sakta hai.
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my daughter. Sansaar mein Ishwar ka sabke liye ek sa hee niyam hota hai. Alag-alag nahin hota. Sab kuchh prarabdh ke anusaar hee hota hai. Niraakaar Parmeshwar ne vedon mein atal niyam banaya hai jiske anusaar ek nirakaar, Sarvavyapak, Srishti rachyita Ishwar kee hee Pooja ved mantron ke Yajyen se aur yogabhyaas aadi se hotee hai. Vedanusaar aur koi bhakti Ishwar ko manzoor nahin aur Ishwar avtar nahin leta. Sri Krishna Maharaj ke baare mein yeh manushya ka apna-apna khud ka vichaar hai. vedon mein aisa kuchh nahin kaha. Ek baar T.V. par media kee ek team raat-bhar wahaan rahee thee par us team ko kuchh nahin hua, sab theek-thaak raha.