Avtar: Dear SwamiJI, There is Brahman Dosh/Shraap in my undli.Please advise how to rectify it.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. In the world, there is no Brahmin dosh, kaal sarp, Pitri dosh, mangal dosh, vaastu, present astrology, palmistry, navgrah poojan etc. The said dosh are man-made and therefore are false. These all are made as a source of income. Gurubanni states-
“Karman utte hon nibede” i.e., we, the human-beings are free to do pious deeds/sins (karmas) but result is awarded by God in the shape of happiness and sorrows respectively. So, who are those who declare that a person is suffering from any kind of dosh? Please, beware and do name jaap of God and God always helps but beware of false prophets and blind faith.
Anupam: Guruji pranam.satya gyan ya ved gyan ke bare me janna jankari vardhak hai.vibhinn adhyatmic logo ki soch vibhinn hai.koi jis marg per chal raha hai usse santusht hai to koi satya khi khoj me prayasrat.mujhe apse jo answer milte hai unke aadhar per yadi mai batane ki koshish bhi karti hoo ki sahi gyan ye hai to adhikansh logo ka mat rehta hai ki jyada gyani hone se kuch nanahi. Hota ishwar to prem bhav ka bhookha hai phir uski upasana kaise bhi karo wo hamari prathna sunta hai.koi kehta hai ki ab kaliyug chal raha hai or tulsidasji bata gaye hai kalyug kewal nam adhara sumir sumir nar utrahi para.koi kehta hai ki ved gyan hi aaj kalyug ke samay me pauranik gyan ke roop me prastut hai.Guruji log galat nahi hai kyoki sabhi ko bachpan se ye hi gyan mila hai.is gyan ke vishay me sacchai bhi mujhe bataye.guruji kya jo adhyatma sambandi satya gyan hai use hamari shiksha vyavastha ka ang nahi bana dena chahiye jisse bachpan se sabhi ko satya gyan mile.galat bhatkav samapt ho.meri jigyasaye bahut pehle se thi.per koi shant nahi ker paya.kisi ne koi marg bataya to kisi ne koi.or pata nahi mere ander itni jigyasaye kyo thi.guruji aaj tak maine kisi ko guru bhi isi karan nahi mana.aapse me beshak bahut door hoo per mata pita ke bad aap hi sacche guru prateet hote ho.jo lagatar meri shankao ka samadhan ker rahe hai .guruji jab is gyan ko prapt ker loongi iska prachar awasya karoongi.Aaap to bahut logo ko jante hai app unse ved gyan ko sehej roop me padhyakram me lagane ke liye kahe.isse satya gyan bahuto ko milega.guruji mene 2 vishayo me ph.d ki english me v education me.education me mene patanjal yoga darshan per kam kiya.kafi samay tak b.ed m.ed me darshan gyan bhi dia per uska vyavharik swaroop aapse hi samajh aa raha hai.dhanyabad.
Swami Ram Swarup: My Blessings to you. Satya gyan ko hee ved gyan kehte hain. Satya Ishwar ko kehte hain kyunki ved gyan Ishwar se nikla hai isliye ved ka gyan hee satya hai. Anya gyan jo vedon ka Adhyayan karke aur vedon ke adhaar par hee mantra drishta Yogi, Rishi-Muniyon ne Shastra, Upnishad aadi mein likha hai, weh bhi satya gyan hai kyunki weh vedon se tally hota hai. Anya pustakein jo manushyon ne likheen hain, Rishiyon ne nahin likheen hai, usey bhi Rishi-Muni, aaj ke vedon ke vidwan satya nahin maante kyunki un pustakon mein ved-virudh gyan likha hai. Yog Shastra sutra 1/7 ke anusaar wahi vichaar satya hain jinka pramaan vedon mein hai. Aaj manushyon kee soch vedon se alag isliye hai kyunki weh Ishwar se utpann ved ka sacha gyan nahin sunte aur aadmiyon kee likhee ved-virudh kitabon ko padte hain, sunte hain isliye unke vichaar aadmiyon ke vichaar ho gaye hain, Ishwar ke vichaar jo Ishwar ne vedon mein diye hain, woh sache vichaar nahin rahe, jhoote vicharon ne dil par kabza kar liya hai aur jo koi bhi ved virudh jis marg par bhi chal raha hai, us marg se weh bilkul bhi santushta nahin hai, usmein kaam, krodh, mad, lobh, ahankar, ninda, dwesh, jalan-sadan, ghar mein kalah, baahar ladaayian aadi saare dosh maujood rehte hain par upar se weh yeh kehte hain ki main khush hoon isliye Guru Nanak Dev Sahib ne kaha-
“Nanak dukhiya sab sansaar”
Jo Satya kee khoj mein prayasrat hai, yadi weh aaj ke yug mein Swami Dayanand kee tarah khojee hai to ek din weh avashya Ishwar se utpann ved vanni ko khoj lega. Anyatha ved virudh mithya gyan mein phans jayega aur jhoot ko hee sach samajhne lagega.
Hamare Rishi-Muni, Tapasvi vedon ke mahaan gyani they isliye to aaj bhi poojaneeya hain aur jo bhi ved ka gyani aaj jeevit hai wahi vedanusaar poojaneeya bhi hai. Jo gyani nahin hai to kya uske shareer kee Pooja karein ya uske jhoote vaak kee Pooja karein? Aisa vidhaan nahin hai, gyani hee poojaneeya hai, shareer aur mithyawaad kadaapi poojaneeya nahin hai, kya kansa, duryodhan, Ravanna jo balshaali bhi they weh poojaneeya hain?
Poojaneeya to Sri Ram, Sri Krishna Maharaj aur Rishi-Muni hain, jinke andar ved marg par chalkar Yajyen, Yogabhyaas aadi karke ved ka gyan prakat hua tha. Rishi Vishwamitra poojaneeya hain jo vedon ke gyata they, Mareechi, Subahu aur Ravanna poojaneeya nahin they jo unke Vedic Yajyen mein vighan daalte they. Aaj log manushyon kee kitabein pad-padkar ved marg aur Yajyen marg mein vighan daal rahe hain aur aap inhein na samjhayein kyunki inhonein manushya ka marg apne mann mein pacca kar liya hai. Tareeka yeh hai ki aap khud jab ved marg par chalne lageinge tab barson baad aapko dekh-dekh kar duniya ved marg par khud hee chalne legegee. Isliye aap kisi ko na samjhayein kyunki duniya aapse ladeigee aur apne jhoote vichaar aap par thopegee. Ishwar prem bhaav ka bhookha hai agar koi Ishwar se prem kare. Asal mein baat yeh hai ki Ishwar usey kehte hain jiska varnnan vedon mein hai. Ab jub koi ved jaanta hee nahin aur ved-virudh manghadant Ishwar ko pyaar karta hai, chadawa chadate hain ityadi, to sach-much ke Ishwar jiska varnnan vedon mein hai, weh to hamaree naadani par hansta hee hai, hamse pyaar thode na karta hai aur Rigved mantra 10/125/4 mein to Ishwar ne yeh bhi keh diya, isey samjho ki Ishwar kehta hai ki tum meri Prithvi par rehte ho, mera ann khate ho, meri dee ankh se dekhte ho, mere diye kaan se sunte ho, mere diye hue shareer se sukh bhogte ho parantu mujhe na maankar apnee marzi ke banaye doosre Ishwar kee Pooja karte ho to main tumhaara sabkuchh chcheen loonga aur yahi karann hai ki Ishwar ne duniya ka sukh-chain chcheen rakha hai aur doosree baat Rigved mantra 3/56/1 mein yeh kahi ki Ishwar ke banaye niyam badalte nahin hain arthat vedon mein kahe Ishwar ko badalkar apnee marzi ke doosrey Ishwar kee Pooja nahin kee ja saktee. Afsos yahi hai ki Ved ka Adhyayan na karne ke karann aam janta Ishwar ke in niyamon ko nahin jaantee Isliye manushya ke banaye hue marg par chalkar dukhi hai. Isliye Ishwar Vedic pyaar ka bhookha hai aur kisi pyaar ka bhookha nahin hai, aur kisi pyaar se to weh nafrat karta hai.
Jaise upar kaha Ishwar ke niyam nahin badalte isliye aisa nahin ho sakta ki Satyug, Treta, Dwapur aadi mein to ved marg par chalna padta tha, Yajyen, Yogabhyaas karne padte they Mata-Pita, Guruon kee sewa karnee padtee thee, Brahmacharya dharnn karna padta tha, Naari ka sammaan karna padta tha, isliye kisi Mata, naari, beti ko buree nazar se nahin dekhna hota tha ityadi aur ab kalyug mein kewal naam japo aur tar jao aur saath-saath maa-betiyon ka apmaan karo, unse dushkarma karo, Mata-Pita, Buzurgon kee baizattee karo, unhein asahaya karo, unhein vridh ashramon mein phaink do ityadi aur kewal naam simran karke tar jao to yeh sab ved-virudh paap walee batein hain. Ishwar ka gyan pakshpaat rahit hai, weh kisi kee favour nahin karta to yeh kaise ho sakta hai ki weh kalyug mein rehne walon kee favour kare ki hey manushyon! Kalyug mein tum kaam, krodh, mad, lobh, ahnakar, rog, bhog, jhoot aur paap karmon mein busy ho isliye tum kewal naam simran kar ke tar jao. Aisee baat to koi murakh, agyani, ved-virodhi hee karega, vedon ka vidwaan nahin karega kyunki Rigved ka yeh gyan hai Ishwar ke niyam kisi bhi paristhithee mein nahin badalte. Ved gyan anaadi hai, unchangeable aur unchallengeable hai. To aaj kee tarah pauraanik kaise ho sakta hai jub ved ka gyan badalta hee nahin hai to badalkar pauranik kaise ho sakta hai?
Beta, log galat hain agar bachpan se galat gyan mila hai to usey sahi karne ka avsar hai, agar avsar haath se nikal gaya aur mrityu aa gayee phir to agle janam mein kutta-billi kee anek yoniyon mein jeevatma shareer dharann kar letee hai aur dukh uthatee hai.
Pehle zamaane mein pratyek Raja Gurukul mein aaj ke maths aadi subjects ke saath adhyatmik ved gyan prapt karne kee bhi vyavastha karte the kyunki yeh vedon mein Raja/Rajneta ka dharma kaha hai lekin aaj ke koi bhi neta chahe Prime Minister, President hon, M.Ps, MLA hon, yeh aaj ved nahin sunte isliye apne kartavya karma ka inko gyan nahin hai aur phalswarup hee ye chunaavon mein krodhagni prajawalit karte hain aur raag-dwesh se bhare bhashan bolte hain jisse desh tootta sa ja raha hai. Jaatiwaad aur mazhabon kee ladaiyaan ho raheen hain ityadi, kursi hathiyane ke liye neta pratyek had paar karte ja rahe hain. Yeh sabkuch ved vidya ka gyan na honey ke karann ho raha hai, Pichchla itihaas pado to kya Sri Ram, Sri Krishna Maharaj, Raja Janak etc., ya unkee janta aise nafrat bhare bhashan boltee thee, kabhi nahin boltee thee kyunki us waqt har ghar mein ved vidya aacharann mein thee.
Beti, mera aapko ashirwad. Ghar mein Gayatri mantra kee aahuti avashya daalo aur Ishwar ke naam- Om ka nitya jaap karo.