Anupam: Swamiji pranam.apki pustak vaidic sangrah part 1 me page no 33 per likha haiki 12 din tak atma divya guno ki prapti hetu alag alag sthano per jati hai v phir kuch kal bhraman karke karmanusar mata ke sareer me jati hai.13 din ke bad veh kuch kal or bhraman kyo karti hai.ise krapya ispast kare.guruji dusari pustak brahmcharya dukh nivarak mani me page no 17 per likha hai ki jadh jagat ki rachna ke bad jadh shareer rache jate hai v karmanusar usme jevatmaye pravesh karai jati hai to shrasti rachna ke shuru me hi karm kaise ho gaye.guruji krapya jigyasa shant kare.
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my daughter. Jo shareer se nikalne ke baad jeevatma ka akash mein bhraman hota hai weh anadikaal se chalee aa rahee Ishwar kee vyavastha mein ek niyam hai aur is niyam ke anusaar weh bhraman karke divya gunnon ko prapt kartee hai. Yeh niyam badle nahin ja sakte. Isee niyam ke adhaar par vidwan kehte hain ki bhoot-pret nahin hote. Srishti rachna, paalna, sanghaar aur punaha srishti rachna anaadikaal se chalaa aa raha hai aur yeh kabhi samapt nahin hoga. Jaise is srishti kee rachna se pehle pralaya avastha thee aur pralaya avastha se pehle srishti rachna thee aur us srishti mein yeh sab jeevatmayein upasthit theen, karma kar raheen thee aur unhee karmon ke adhaar par is srishti mein unka janam hua hai.

Anupam: Guruji sadar naman.nirakar ishwar to ek hai per atma 1 hai ya kai.kya atmao ki alag alag catagoury hoti hai jaise devatma
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Nirakaar God ek tha, ek hai aur ek hee rahega parantu jeevatmayein anek hain isliye anek shareer hain. Jeevatmayon mein koi bhed nahin hota lekin jub jeevatma ved marg par apne shareer ke saath chaltee hai aur jeevatma ka shareer shubh karma, Yajyen, Yogabhyaas etc., karta hai, Mata-Pita, Gurujanon kee sewa, vridhon kee sewa karta hai etc., tub us shareer ko dev kehte hain arthat devta kehte hain aur isee shareer se shubh karma karke jeevatma aagey chalkar Samadhi avastha prapt kartee hai aur Rishi-Muni kehlatee hai.