A K Kashyap: Swami ji namastay. Swami ji maine jo satyarth prakash evam discovery channel ke madhyam se god ke bare me jo jana vo yaha hai jo ki mera antar man kahat hai ki yahi god ki definition hai.

{about god}

Priya bhaiyo kya apne kabhi socha hain ki God kis prakar sab sthan par vyapt hain. Maine kuchh pustako ka addhyan kiya hain aur maine paya hain ki aakash (sky) ko hi ishwar mana gaya hain aakash ki koi seema nahi hoti vaha anant hain . aaakash ke hi andar all planet, stars .humans,plants,animals, all insect kahne ka matlab sari srashti duniya ki saari sajeev evam nirjeev(animate & inanimate) vastuye aakash ke hi andar vyapt hain. Is prakar hum kaha sakte hain ki akaash(god) sab vastuo me vyapt hain

Lakin kuchh logo ke dimag me ye baat aayegi ki jab god kan-2 me vyapt hain to hum moorti ki pooja kyo karte hain. To iska karan yaha hain ki god ki stuti karne ke liye koi na koi prateek (symbol) jaruri hain bina symbol ke man ko shanti nahi milti evam dhyan bhi idhar udhar bhatakta hain.

Yu samanjhiye jis prakar ghari(watch) samay nahi hain samay dekhne ka sadhan hain.
Isi tarah Moorti bhagwan se judne ka sadhan hain.
Kisi ko ishwar ki prathana ke liye moorti ki jarurat hoti hain kisi ko nahi dono hi apni jagaha sahi hain.
Ab sawaal ye ki prateek kaisa ho vaido ke anusaar bhagwan ka swaroop suddh evam chetanya( animate) mana gaya hain.
As: (bhargo भर्गो) ye sabd gayatri mantra ka hain jiska matlab hain suddh chetanaya swaroop.
ab is sanshar ke andar manushaya(human) se sunder evam intelligent jeev dusara koi nahi hain isliye ishwar ki moorti bhi manushaya ki aakrati jaisi banai gayi hain bas unka swaroop divya hain jaise bahut saare hath ya mukh etc taki ve sadharan manushay ki tarah dekhne me na lage isiliye vishnuji mata durga gayatri mata lakshmiji ki murthi ka swaroop divya hain aur unki ishwar ke prateek ke roop me pooja ki jati hain.
Or ye jo ishwar ke hath me shasatra(hatiyar) evam phool aashriwad ityadi darshaye gaye hain ye is baat ka prateek hain ki ishwar boore kaam karne walo ko saja deta hain or achchhe kaam karne walo par kripa karta hain.

Or ek baat ye jo hamare poorvaj the as Shiv, Ram. Krishna Hanuman, Ganesha Saibaba Gotam Buddha Guru Nanak jesus Christ,mohammad sahab etc ye yogi, mahapurush the ye swayam ishwar ki upasana karte the ishwar to ek hain or wo bhi anant,nirakaar, ajanma.
Ishwar jitna hamare ghar me mojood hain bilkul utna hi mandir ya baki sab jagaha par.
mere ye sab batane ka karan yaha hain ki bhagwan ke priti is duniya me jo andhwishwas phela hain uske dal-2 me log bag na phase evam ishwar ke liye idhar udhar bhatkar samay barwad na kare.
I got above knowledge from(1) satayarth prakash of lesson 1,2,7,11 (2)bhagwat gita gorakhpur from sloka 39 of lesson 10 and sloka 13of lesson 13.
Swami Ram Swarup: Yajurved mantra mein aata hai- “Om Kham Brahma” yahan kham ka arth akaash hai. Bhaav yeh hai ki jaise aakash (space) sab jagah hai, usee prakar Parmeshwar bhi sarvavyapak hai.

Upnishad mein kaha hai
“Tat Srishtva Tadevanupravishat”

Arthat Parmeshawr ne srishti rachee aur weh srishti mein sama gaya.

Om ka arth hai, Ishwar sab jagah ka rakshak hai aur Brahma ka arth hai sabse bada arthat sansar mein Ishwar se bada anya koi nahi hai. Atah Ishwar aakash nahi hai, apitu akashh ko rachne wala hai aur jaisa upar kaha, kham ka arth hai- akash ke samaan sarvavyapak.

Ishwar ke anant gunn hain. “Om Kham Brahma” to yahaan kewal teen hee divya gunn kahe gaye hain.

Doosra, jaise Yajurved mantra 31/1 and 2 mein kaha ki hum sub prannee, yeh sub akash, surya , chandrama sub Ishwar mein hain prantu Ishwar sampoornna brahmand mein vyapak hokar, jahaan yeh brahmand nahi hai, wahaan bhi hai arthat brahmand se aage bhi hai, anant hai.

Vedon main spasht kaha hai ki God kee stuti karne ke liye kisi bhi symbol kee avshyakta nahi hai. Kyunki Ishwar na avtar leta hai aur na hee uskee koi murti hotee hai. Isliye Ishwar kee Pooja Yajyen, agnihotra, naam simrann aur Ashtang Yog kee sadhna kaha hai aur yeh shiksha vidwaan se lenee avashyak hai.

Ishwar ka udaharann ghari ya kisi bhi bhautik padarth se nahi diya ja sakta, kewal kuchh bhautik udaharann symbolic avastha mein ved athwa – ved ke gyata vidwaan dwara diye jaate hain aur wahaan vidwaan yeh keh dete hain ki yeh udaharann bhi bhautik hai aur vaastav mein Ishwar is udaharann jaisa bhi nahi hai.

Jaise koi bhautik udaharann de ki Ishwar surya kee jyoti jaisa hai arthat Jyotiswaroop hai to yahaan sirf yeh samajha jayega ki God Jyotiswaroop hai parantu surya jaisa Jyotiswarop nahi hai. Kyunki surya ko to swayam prakashhak Ishwar ne jyoti dee hai.

Isliye watch ka bhautik udaharann God ke liye nahi diya ja sakta aur jo Ishwar prapti ke sadhan hain weh bhi vedon mein upar kahe Yajyen aadi alauutik sadhan hain, laukik nahi.

Donon apnee jagah sahee nahi hain, kewal wahi sahi hai jo anadikaal se chalee aayee Vedic parampara, Vedic gyan se jud jaate hain. Kyunki ved Ishwar se utpann alaukik vidya hai, laukik nahi hai arthat is lok kee nahi hai. Vedon mein spasht kaha hai ki Ishwar nirakar, sarvavyapak hai isliye uskee koi murti nahi hoti. Yes, bhargo ka arth shuddh chetanswaroop hai lekin kewal Gayatri mantra mein hee nahi apitu charon vedon mein God ko shuddh anadi Chetan swaroop kaha hai. Jaise Yajurved mantra 40/8 mein kaha –“ Shuddham Apaap Viddham” arthat Parmeshwar shuddh hai aur ppaap se (karma bandhan aadi se) pare hai aur Gayatri mantra bhi ved mein hee aaya mantra hai aur Ishwar dwara anya ved mantron kee tarah uttpan mantra hai.

Human beings ko Ishwar ne banaya hai to hum yeh kyun nahi sochte ki human beings ko banane wala khud kitna sunder hai isliye God ko – Satyam Shivam Sudram kaha hai.

Phir jub upar Yajurved mantra mein Ishwar ko “Brahma” kaha hai, jiska arth hai, sabse badaa. To Ishwar ko bhautik rachna se compare nahi kiya ja sakta, weh is se pare hai.
Jub Ishwar kee koi murti nahi hotee to Ishwar kee murti manushya kee akriti jaisee nahi ban saktee aisa to socha bhi nahi ja sakta. Aur jub manushya ne God kee murti banayee tub to manushya hee badaa mana jayega. Satya yeh hai kee sampoornna sansaar kee murti arthat akash, jal, surya- chandrama , ped-paudhe manushya ke shareer aadi in sabki murtiyan Parmeshwar ne banayee hain isliye Woh rachnakaar in sub murtiyon se, brahmand se bhi badaa hai. Divya shabda ka arth alaukik evam jyotirmaya hai. Isliye Alaukik athwa divya shabda ka arth Ishwar dwara rachit sansar se arthat patthar, paani, ped- paudhon se sambandhit nahi hai.

Atah Divya shabda ko insaan dwara banayee murtiyon aadi se joda nahi ja sakta, Ishwar divya hai, alaukik hai. Phir bhi pratyek insaan jaisee marzi Pooja karne ke liye azaad hai parantu Ishwar dwara rachit ved marg ko jaanne samajhne wale Rishi-muni yogi jan aadi manushyon dwara banayee bhakti par nahi chalte ved marg par chalte hain.

Isliye jub aap yahaan ved mandir kee site par prashann karenge to yahaan se kewal aur kewal prem se vedon ke anusaar hee uttar diya jaata hai, manushya kee banayee bhakti ke anusar uttar nahi diya jaata.

Ishwar ne swayam Rigved mandal 10, sukta 48 mein kaha hai ki mere paas koi shastra aadi nahi hai parantu main Ishwar bina shastra ke asankhya dushton ko pal bhar mein sanhaar kar deta hoon.
Avidya andhkar hai aur ved vidya Prakash hai. Ved vidya ko jaanne wale kabhi andhvishwa mein nahi phanste.

Kripya punaha Satyyarth Prakash padein kyunki Satyarth Prakash mein Ishwar kee murti hone ke baare mein kahin nahi likha hai. Bhagwad Geeta mein bhi murti ya avtarwad nahi hai. Phir bhi aap aur pratyek pranni azaad hain, jis marzi ko Bhagwan maan kar Pooja karein parantu ved mein God swayam kehte hain ki Weh Sarvashaktiman,sarvavyapak , nirakar, krantdarshi aur anadikaal se ved gyan dene wale Jyotiswaroop hain.