S: Pranaam swamiji,meri question ka jawaab dene k liye bohat bohat dhanyawaad.. swamiji main kisi asuri santaan ka pitaah, nahi banna chahta ,waise hi kaliyug mein,bohat asur ho gaye hai…main apni atni ko divorce karke tyaag na chahta hu ,aur dusri kisi ,dharmic stree se vivaah karna chahta hu..mera parivaar bohat dharmic nhai,swamiji aurmainekdaag daar stree k saath jvan nahi bitana chahta ,..kya vedo mein iski agyaa hai…koi aisa vedic mantra jo mujhe,apni dusit patni ko tyaagne ka haq de raha ho? kya ussey tyaagne k baad main,dobara vivaah kar skata hu? iska koi vedic p ramaan?agar main dobara vivaah nahi bhi kar sakta hu swamiji phir bhimain apniatnikodivorce karke aa jeevan brahmchayra palan kar sakta hu..par swamiji ,ek asur aur sanssarkotoh main nahi de paaunga ? waise swamiji kya yeh sach haikishaadi k pehle agar stree sex karti hai gair mardo k saath toh woh apavitra ho jaati hai ,aur ussey asuri santaan prapt hoti hai? vedo mein aisa kisimatra mein likha hai?
Swami Ram Swarup: My blessing to you. Sukhi raho beta. Jo aap doosree shadi ka soch rahe hain, woh ved ke khilaaf hai, weh punnyavaan karma nahi hai. vedon mein aur manusmriti mein kshama ko mahatva diya hai. Atah aap apnee patni ko kshama kar sakte hain. Maine pehle bhi likha tha ki yadi koi bhi patni grihasthashram mein rahtee hui kisi doosre purush kee ichcha kartee hai to ved ussey turant ghar se nikaal dene kee baat karta hai. Isliye aap vedon kee shiksha ko grahan karke apnee patni ko kshama daan karein, issee mein aapka badappan hai. Jo apney kaha, padaa hai, weh ved mein nahin hai, isliye weh jhoot hai.

Sur aur asur kramashah vidya aur avidya ka phal hai. Ravanna aur uskee bahan Shoorpnakha ek Rishi kee santanein theen parantu rakshasa ban gaye. Aap ke anusar unkee mata to shudh theen aur upnishad mein kaha hai ki Jabala naam kee suprasiddh Vaishya ke putra Satyakaam vidwaan se vidya prapt karke ek mahaan Rishi hua, Brahmin kehlaya aur janta ko usne ved vidya daan kee. Hum apne swayam athwa kisi anya manushya ke vichar ko na grahann karein agar woh ichar vedon se nahi milte. Hum Vedic sanskriti ko hee apnayein aur sukhi rahein.

Han! Yadi aap santaan prapti kee ichchha nahi karte tub bhi vedanusar aap apnee patni ko vedanusar apna mitra maan kar ussey shareerik sambandh na rakhein aur usey bhi brahmacharya dharann karne kee shiksha dein. Aap uske pati ho, aapko uskee zindagi banane ka haq hai, bigadne ka nahi tyag dene par to usey samaj mein birla hee koi apnayega aur uska Jeevan barbad ho jayega. Aap usey kshma kyun nahi karte? Aap apna hee swarth kyun rakhte hain paropkar kar kshama kyun nahi karte.

Riya: Virvar ko kapde kyu ni dhulte hai hor kya reason h iska?
Swami Ram Swarup: Veervar ko isliye kapde nahi dhote kyunki logon ne apnee suvidhanusar yeh niyam bana liya hai. Kyunki Charon vedon mein Ishwar ne aisa kuchh bhi nahi kaha isliye vedanusar veervar ko bhi kapde dhoye ja sakte hain, nahaya ja sakta hai ityadi. Jub veervar ko bhojan kiya ja sakta hai naak-kaan aadi saaf kiya ja sakta hai, aur pet ko dhone ke liye stool paas kiya ja sakta hai, urine paas kiya ja sakta hai to gande kapde kyun nahi dhoye ja sakte. Urine and stool etc., per to pabandi nahi lagayee kapdon per kyun lagayee.