S: Pranaam swamiji,mujhe aapse aisi baatein karte hue bohat sharmindagimehsus ho rahi hai.par meraitna bahishkar ho raha hai ,aur itni galiya pad rahi hai ,jabse maine apniatnikbaare mein jaane k baad ussey dooribanaye rakhneka decision liya hai.. uske arivaar waaley yeh takkeh rahe hai ki aisa kuch vedomein likha hi nah ik i shaadi k pehle mardo k saath sambandh bana paap hai.swamiji aapke articles mein . maine padha tha ..ki yajurved8/10mein likha hai ki .Yajurved mantra 8/10 says that opposite sex should not love or give heart to each other before marriage and physical contact therefore is strictly prohibited. Secondly to obey the preach of Veda’s is pious act and to go against the Vedas is sin. The result of sin comes in the shape of sorrow, serious disease, tensions, problems or early deaths, etc.Yajurved clearly states that a girl or a boy must never give her or his heart to opposite sex and must never even touch each other before marriage i.e., when marriage is fixed and performed completely thereafter only they can meet. So sins create sorrows…par swamijijab maine devichand writer ka translationpadha usme patni pati se apne aapko impregnate karne ki baat kar rahi thi..swamiji kya aapne jouar kaha tha ussey vedomantrodwara siddh kiya ja sakta hai..kya un mantro ki puri detail vyakhya .bhavarth,mool shabdarth sahit detail mein bata saktey hai.jaise ki aapne geeta mein kiya hai ..jissey ki yeh baat siddh ho jaaye ki ladke aur ladki ko-opposite sex should not love or give heart to each other before marriage and physical contact therefore is strictly prohibited. aaki badi kripahogiswamiji..main issbaat sedukhi nahihu kimere saath aisa hua..balki iss baat se ki galati biwi ki hone par bhi log mujhe galiya de rahe hai..
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Beta, main isiliye aapko Vedic advise de raha hoon ki aap apee patni ko kshama kar dein uske parivar wale jo keh rahe hain weh to jhoot hai aur kehna bhi paap hai kyunki vedanusaar beta aur beti donon ka shadi hone tak brahmacharya ashram hota hai aur woh hai ki kisi opposite sex se akele mein mil bhi nahi sakte. Parantu aapka case to doosre number ka hai. Aapkee patni ne paap kiye hain jiskee sazaa bhagwan usey dega. Yeh niyam hai. yadi aap aisa paap karte to Bhagwan aapko bhi sazaa deta. Karma ka phal individually hota hai. Aap to ab patni ko kshma karke ek punnyawaan karma kar sakte ho, jo aapko karna chahiye. Kyunki vedon mein kshma bhi to kahee hai. Manusmriti mein dharma ke gyarah(11) lakshann hain, dhriti(dhairya), kshma etc., to aap dharmik purush bane patni ko tyagne kee hinsa na karein kyunki ussey weh royegee, uska Jeevan barbaad hoga aur bhi koi royeinge uske sath, yeh sab hinsa aapke karann hee hogee, aap hee iske doshi baneinge. Aap kee ek kshma karne se kaiyon ke dil khush honge, ahinsa maintain hogee, dharma banaa rahega, iska punnya aapko milega.
Phir kehta hoon jo iske mata-pita keh rahe hain weh jhoot hai, weh khud aisa keh kar paap kar rahe hain ki vedon mein shadi se pehle sex karna paap nahi kaha. Ved to isey mahapaap kehte hain. Parantu jub paap ho hee gaya to ved doosra gyan dete hain weh hai kshma. To aap apnee patni ka kiya paap kshma karein, Han! Yeh main kehta hoon ki Ishwar isey kshma nahi karega yeh uska paap hai, parntu aap to usey kshma karke punnya prapt karein, God ko prasann karein.
Yeh maine aapko upar samjha diya hai aur internet par maine mantron kee vyakhya bhi kee hogee parantu aapka to matter yeh hai ki jub weh aapkee patni ban gayee hai to aap usey kshma kar ussey santan utpann karein. Patni ka paap uske sath, aapka punnya apke sath isliye usey kshma karke punnya prapt karein aur sukhi ghar basayein. Yadi koi bhi patni dubara galti kare to weh pati ke dwara kabhi bhi kshma nahi kee ja sakti. God to waise bhi kshma nahi karte, weh to paap kee sazaa deta hee hai.