Rangesh: Namaskaar Swamiji scientists say that we humans came long after the period of dinosaurs and that they(dinosaurs)were all across the earth for millions of years but the knowledge of vedas is said to have been imparted to 4 rishis in the beginning of the universe. Toh Swamiji mai yeh jaanta hun ki ved asatya nahi hai aur yeh bhi satya hai ki vaigyanik aise hi kuch bhi nahinboldenge toh Swamiji kripa karke mere is sanshay ko dur karein aur batayen ki satya kya hai. Namaste dhanyawad.
Swami Ram Swarup: Rangesh ji, anadi kaal se chali aayi vedic vidya mein yeh gyan hai ki ved gyata vidwan jo rishi, muni, samadhisth ki shreni mein aate hain woh tark-vitark se satya sidh karein. Dusra yeh ki kya satya hai iska praman bhi vedon se dena, ya rishi vani ke vakyon se dena anivarya hai jise agam praman kahte hain. Jaise kisi ne kaha Ishwar ki murti hoti hai to vidwan kahenge ki ved mantron se iska praman do ki Ishwar ki murti hoti hai. Ab yadi ved mein koi aisa mantra hai jismein varnan hai ki Ishwar ki murti hoti hai tab to yeh vichar satya hai prantu ved mein aisa koi mantra hi nahi hai to yeh vichar jhooth mana jayega. Isi tarah yahan jo science ne kaha ki “we humans came long after the period of dinosaurs….. etc” , yeh vichar vedon se nahi milta. Yagyavalkya Rushi ne bhi kaha ki sansar mein do hi baatein hain ek satya dusri jhooth. Ishwar satya hai aur Ishwar ki vani ved bhi satya hai, jeevatmayein bhi satya hain, prakriti bhi satya hai iske atirikt sab jhooth hai kyunki pralay mein sab nasht ho jata hai aur jo nasht ho jata hai weh jhooth hai. Atah yeh smast sansar sabko satya nazar aata hai prantu pralay mein yeh bhi nasht ho jata hai atah jhooth hai. Aise hi science ki khoj vaigyanikon ki buddhi se ki jati hai aur manushya ki man, buddhi prakriti se nirmrit hone ke karan sab jhooth hai. Mera aashirwad aapko.