Varun: Ek aur prashna swami ji.. Apke ek bhakt ne apse poochha tha “prann” kya hai.. Apne kha tha ki PRAN VAYU HAI JO HM SHWAS LETE HAIN. Jabki esa nhi h..sara kuch prakriti h,jo pran aur akash se bani h..akash hr cheej ko ek akaar pradan krta h aur prann usme jivan spandit krta h..hr cheej brahmand me jisme kisi bhi trh ki gati h ,asal me wh pran ka hi spandan hai..hm jo kuch vichar krte hain wh bhi PRANN HAI.HM PRAN KO AGAR NIYANTRIT KR LE To hm prakriti ke bandhan se mukt ho skte hain..isiliye hme pranayam sikhaya jata hai..jisse hm swayam pr niyantran rkh ske. Sabhar. Swami Vivekananda virachit Rajyog se udhrit.
Swami Ram Swarup: Prakriti tatva avinashi tatva hai aur avinashi tatva kisi bhi doosrey tatva se banta nahi hai. Agar Prakriti kisi doosrey tatva se bantee to prakriti swayam bhi kabhi srishti kee tarah ya hamare shareeron kee tarah nasht ho jatee. Rigved mein kaha jub mata ke garabh mein jeevatma aati hai tub Parmeshwar jeevatma ko prann daan karta hai jissey jeevatma ke upar shareer banney lagta hai. Aakash ka arth hai khali sthan (space), space mein hee bhavan aadi ka nirmann hota hai. Space mein hee surya, prithivi, chandrama aadi sthit hain. Parantu aakash kisi mein lipt nahi hota. Aakash bhi jad prakriti se banaa jad tatva hai. Brahmand ke kann- kann mein Chetan Parmatma hai jaise Yajurved mantra 40/1 mein kaha-“ Eesha Vasyamidam Sarvam Yat Kinch Jagatyam Jagat”- arthat is jad jagat aur chetan jeevatma, dono mein Chetan Parmeshwar vidyamann hain. Hum jeevatma hain aur jeevatma jad prakriti se banee jad buddhi se vichar kartee hai. Prannayam dwara chitta kee vrittiyan nirudh (ruktee hain) hotee hain, jaisa Yog Shastra sutra 1/2 mein kaha- “Yogashchittavritti nirodhaha”
Arthat chitta kee vrittiyon ke nirudh ho jaaney ka naam Yog hai. Chitta kee vrittiyan ruk jaane se jeevatma swayam apne swaroop mein sthit ho jaata hai, issey pehle weh swayam ko nahi jaanta tha. Atah prannayam karne se swayam par niyantarann nahi hota apitu swayam ko jaana jaata hai.Yadi hum vedon ka adhyayan karein athwa Patanjali Rishi dwara likhit Yog Shastra ka adhyayan karein to jaaneinge ki yam, niyam, asan ke pashchaat prannayam Ashtang yog vidya ka chautha ang hai. Kathor prannayam ke abhyaas se pratyahaar arthat indriyon par sanyam hota hai, phir dharnna, dharnna ke pashchat dhyan aur ant mein jub dhyaan kee sarvottam avastha aatee hai to dhyan hee aagey chalkar Samadhi avastha ko prapt hota hai. Dharammegh Samadhi mein jeevatma Ishwar ko prapt kar leta hai. Yahi Vedic satya hai.

Anonymous: Swamiji ! Stuck between pleasing the wife and parents, I am going mental to please both of them. There is no problem, but there is so much problem. I have tried to talk to both of them as per vedas, but they dont understand. I am really losing patience and though I know its wrong, I feel like killing myself to run away from these problems. Please advice!
Swami Ram Swarup: First of all I would advise you to please maintain peace within you and be brave. You see, life is a struggle and we’ve to face it happily in all circumstances. Problem came due to the effect of previous lives’ bad deeds and happiness is the result of previous lives’ pious deeds. Nowadays, people have mostly forgotten to follow Vedic path which gives strength to face bravely the problems. I appreciate that you follow Vedic path. So you know that he is only the brave warrior who never leaves the battle field and at last he wins. I think if you’ll shower your love on your wife and would try your level best to make her understand which is required to maintain peace then she would sure follow you. I mean to say, one side must maintain peace then other side will automatically be peaceful. So, most of the time, you try to preach your wife and little bit time must be given to your parents. If you would be successful to make your wife understand family problem, the peace will sure be maintained in family.

Swati: Pranam swamiji. My mother is suffering from fibroids in uterus. She is 53 years old and doctors suggest operation .is there any treatment for it in ayurveda. What she should eat and any yoga asanas to be done? She is also having very low haemoglobin and I am very worried.
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my daughter. Beti, doctors have advised correctly that in this case operation is needed. Nowadays, medical science is in advanced stage so, you need not to worry. Let your loving mother undergo operation. It will be successful. My blessings are with your mother.