Anupam: गुरुजी सादर प्रणाम।गुरुजी आपसे जाना कि समिधा मे कच्चा चावल व साबूत उर्द की दाल मिलाई जा सकती है।गुरुजी केवल यही दाल क्यो बाकी क्यो नही।जब हमारा प्रयोजन वातावरण मे उपस्थित जीवात्माओं को धुंए के रूप मे भोजन पहुंचाना भी है तो क्या सामग्री मे सभी खाद्य पदार्थ नही डाले जा सकते।उसमे क्या क्या डालना वर्जित है।
Swami Ram Swarup: Blessings beti. Beti samidha mein nahi,hawan samagri mein kachche chawal, maah kee daal aadi mix kee jaatee hai. Niyam to yeh hai ki koi bhi Vanaspati,ann aadi hawan samagri mein mix kiya jaa sakta hai. Vanaspati mein sabhi daalen, aata,ped paudhon ke patte, phal aadi aa jaate hain.
Anonymous: Swami Jee Pranam? Mera sawal hai ki cow ko “go” kaha jata hai theek? Parantu earth, Indriya(Senses), in sab ko bhi “go” kaha jata hai ? kyun swami jee ?? our Nirukt mein yaska ne “go” shabd prithvi ke lie kyun use kai hai ?? our jab bhi “go’ shabd aye to kase pata lagein ki cow hai ya earth?
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Mantra mein arth yog drishti se kiye jaate hain. Mantra ka subject kya hai, us aadhar par kiye jaate hain, itiyadi. Ab jahaan mantra mein gau ke baare mein doodh dene walee gay itiyadi ka varnnan ho to gau ka arth gay hee banega. Jis mantra mein gau ka sambandh indriyon se hai tab indriyan banega. Jaise Rigved ka mantra hai “Agnim Eede Purohitam Yajasya Devam Ritvijam Hotaram Ratan Dhatmam”
To agnim ka arth yahaan bhautk agni nahi hai apitu Agni ka arth yahaan Ishar hai. kyon? kyunki purohit ka arth hai sansar ka hit karne wala. Yajasya hotaram ka arth hai Yajyen ka dene wala , Ritvijam ka arth hai pratyek ritu mein poojaneeya. Ratan dhatmam ka arth hai sab prakar ke dhan- sona chandi, ratan aadi ka dharan karne wala maalik . Devam sab padarthon ko dene wale, Agnim arthat Parmeshwar kee Eede stuti karte hain. To yeh sab shabdon ke arth (adjectives) agni ke liye kahe gaye. Bhautik agni ke yeh gunn nahi hain.yeh gunn Ishwar ke hain. Islye yahaan Agni ka arth Ishwar hai. Bhautik agni nahi hai. Isee prakar gau ke kai arth hain.