Anshul: Swami ji meri job k chances btaye aur me videsh yatra bhi karna chahta hu. .
Swami Ram Swarup: Namasteji. Job ke chances tub baneingey jub aap B.tech ke exam achhey number se pass kar logey. Itna pehle sochna bekaar hai. Jub B.tech paas kar loge tub videsh yatra ke liye apne chune hue desh ke liye viza lagwane ka prayatna karna.

Shashikant: Please explain the uncharacteristic of Prajapathi?
Swami Ram Swarup: Meaning of Prajapati in Vedas is Almighty God who nurses the universe.

Shashikant: Please explain the uncharacteristic of Prajapathi? Are Jesus and Prajapathi same person?
Swami Ram Swarup: As above. No, please. Prajapati and Jesus are not same dignitaries.

U: Pranam swamiji,swamiji maine apke bheji hui brahmacharya ek dukh nivarak divya mani ,patanjal yog darshan 1-2,yajana karma sarva sreshta ishwar puja padhi hai.aur mai roj havan karne ki koshish bhi kar raha hu. swamiji muzhe sanyash lena hai aur muzhe apke margh darshan se ye bhi malum hai ki bahut se log ghar se pareshan hokar sanyash lete hai aur fir dukh pate hai.par muzhe ghar se koi problem nahi hai mai financially bhi accha hu par muzhe yogi banana hai aur uske liye yam,niyam ka abhayash karna jaruri hai par bad society tyage bina yam,niyam ko sidh nahi kar sakta.swamiji mai kya karu us bad society mai mera bhai hai dost hai muzhe roj inhi ke sath kam karna padta hai mai koshish karta hu ki ye sudhar jaye par inke sath rahkar mai hi bigad jata hu.swamiji aise me mai kaise yogi banunga.swamiji muzhe yah bhi malum hai ki bin guru(apke bina) koi yogi nahi ban sakta.swamiji mai Aug mai apse ashtang yog sikhne ane wala tha par anahi paya.swamiji aap muzhe ashirwad dijiye ki mai acche karma karu taki muzhe jaldi se apke darshan ho kyunki ishwar kripa bina sant ke darshan nahi hote.swamiji krupa kar muzhe margh darshan dijiye
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my son.

Aapke views bahut achchhey hain aur yeh bhi satya hai ki bad society chhode bina koi bhi sachcha, yogi, saint, pujari, rishi muni, sanyasi nahin ban sakta. Ved marg par chalkar hee hum indriyon ko sanyam mein latey hain. Vedon nein bad society tyagne kee baat kee hai. Ab aapka farz yeh hai ki aap unke sath kaam to karo lekin buree baton mein shamil naa ho. Kyunki kaam karna aapki mazboori hai.

Jab aap yahaan ayenggey aur aapko rozana sadhna karne ka abhyaas bataya jjayega aur aap us sadhna ko roz karogey to aapko sab kuchh prapt hoga.

Mera aapko hardik ashirwad.