Ameer: Assalamu alaikum (may peace be upon you) Swamiji in your articles you have stated that you read Holy Quran and confirmed it as a message from Almighty God. Then you may adopt the updated version of your vedic religion to islam and convert your followers and preach in India for peace.
Swami Ram Swarup: Walecum Aslam Bhaijaan. As per Quran Sharief the pious Aiyat, generated (ilham) in the heart of Hazrat Mohammad Sahib, so based on said truth, from Allah of Quran Sharief, one can tell that the aiyat of Quran Sharief are message of Almighty God. Further, I paste one of my answers in this regard:-

Hum sab ka malik woh sansaar ko rachne wala Parmeshwar kaho ya khuda kaho ya God kaho, ek hee tha, ek hee hai aur hamesha ek hee rahega kyunki weh janam aur maut mein nahin ata. He is immortal. Yes, uska koi partner nahin arthat duniya ke kaam chalaane ke liye uska koi sahayak/partner/agent nahin hai. Aur jo kuch bhi hai prashansa usi akeiley sab ke sachey malik ki hee hai. Yeh saari batein eternal knowledge of vedas mein parmeshwar nein kahin hain aur uski kahi baat ko hee gyani log aagey kehtey hain. Iskey ilawa bhi uski siftein, uski divine deeds, uske divine knowledge aur divine power unlimited hai arthat beant hai. Quran sharief bhi inhein baton ko kehti hai. To hamein Quran Sharief aur vedas, dono ka hee aadar karna hai.

Yeh bhi satya hai ki Ishwar/Khuda saarey sansaar ka hai. Woh kisi ek mulk ya mazhab ka nahin hai. Isliye, us khuda/Ishwar nein Insaan ki ek he jaati banayee hai jiska naam insaan hai aur insaan ko insaniyat kayam karne ka hukum diya hai. Vedon mein murti pooja, sati pratha, jaatiwad aadi vyavastha ka varnnnan nahin hai. Is yug mein Ved vidya ko zameen par aaye kareeb One Arab Ninety six crore se zyada saal ho gaye hain aur Upar likhi buraiyan to kareeb do-dhai hazaar saal ke andar hi paida huin hain aur who bhi isliye ke log apne-apne banaye marg par chal rahe hain vedon ko sunna sunana chod diya hai.

Malik aur malik ke gyan, niyam aadi hameisha na badalne wala (unchangeable) hota hai isliye us malik ke prakashan Quran Sharief, Bible aadi mein bhi malik ka swarup/gyan unchangeable hee hai. Who Ek tha, formless tha, sansaar ko rachne wala, sab ka data hai, ek hai, ek hee rahega aisa hee sab kuch kaha hai. Issee karann se hum sab aapas mein bhai-bhai hain. Sanatan to kehtey he avinashi (eternal, omnipresent) Ishwar ko hain. Jo ved Vidya hai weh sanatan Ishwar se niklee hai.

Ab iski aad lekar koi kya kuch karta hai, apni man-maani karke galat prachaar karta hai to Ishwar athwa vedon ko dosh (kasoorwar) nahin diya ja sakta. Yeh Insaano ki khud ki galti hogi aur weh galti bhi isliye hai ke log ab ved- vidya kum suntey hain aur weh jo zyadatar nahin suntey hain, weh ved ke barey mein jaante hi nahin. Lekin duniyan se abhi ved bilkul khatam nahin hue hain isliye hum sabhi mazhabon ka aadar karte hue aapas mein milkar aagey badein.

Jaisa ved mein kaha woh malik karmon ka lekha jokha khud insaan ke chitta par dalta rehta hai aur kahaa ki ved na martey hain aur na kabhi puraaney hotey hain (Atharvaveda mantra 10/8/32 refers). Issee tarah jaisey ke Ishwar kabhi puraana nahin hota aur na he maut ko prapt hota hai.

Us malik nein vedon mein zinda he usey (parmeshwar ko) Jaanane ki agya di hai. Aur puraaney aur abhi ke Rishi-Muni aur insaano nein usey hee zinda hi rehkar, aur uski agya ko maankar pehchana hai. Isliye hum sabhi dharmon ka aadar karte hue aagey badein.

Puneet: Swamiji namaste. Agar kisi ko TB ya typhoid ho jaye toh weh hawan mein kya dalen jise woh dubara nirog ho jayein?
Swami Ram Swarup: Namaste ji. Sabse pehle to yeh baat dhyan mein rakhein ki rogi ko doctori salah ke mutabik rozana time se dawai lenee hai. Thoda zyada aram aur adhik fayde ke liye aap rozana hawan karein aur hawan samagri mein nechey likhe yeh (list appended) cheezein daalein.

21 best herbs for Havan

KASTURI, KESAR, AGAR-TAGAR, CHANDAN, JATAMASI, ELAYCHI, JAYFAL, JAVITRI, GOOGAL, NAGARMOTHA, BALCHHAD, SUGANDHBALA, DALCHINI, JAU, GILOYA, CHUARA, BADAM, AKHROT, BANAKSHA, GUD, AND KISHMISH.